ban kar main kabhi musa sar-e-tur ja raha hun
ban kar main kabhi musa sar-e-tur ja raha hun
Zuhoorullah Iftekhari Mujeebi
MORE BYZuhoorullah Iftekhari Mujeebi
ban kar maiñ kabhī muusā sar-e-tūr jā rahā huuñ
iisā maiñ kabhī ban kar marde jilā rahā huuñ
vahdāniyat pe merī ab to yaqīñ kar lo
har shakl meñ maiñ apnā jalva dikhā rahā huuñ
raushan ka.e haiñ jis ne jazbāt haqq-e-ta'ala
vo sham-e-haqīqat maiñ dil meñ jalā rahā huuñ
jin ko ba-juz hamāre koī nahīñ hai suntā
tauhīd ke vo naġhme har vaqt gā rahā huuñ
apnī ḳhabar meñ gum huuñ itnī ḳhabar kahāñ hai
kis samt se huuñ aayā kis samt jā rahā huuñ
ḳhud huuñ maiñ jām-o-mīnā ḳhud hī sharāb-e-vahdat
ḳhud hī maiñ pī rahā huuñ ḳhud hī pilā rahā huuñ
jis meñ ba-juz hamāre na ho ġhair kī samā.ī
apnā mai-ḳhāna-e-dil aisā banā rahā huuñ
donoñ jahāñ banā kar koī farq hai na aayā
vaisā hī huuñ maiñ jaisā pahle ḳhudā rahā huuñ
maiñ 'zuhūr' huuñ na zāhir banda huuñ maiñ na maulā
apne vajūd ko bas maiñ ḳhayāl pā rahā huuñ
ban kar main kabhi musa sar-e-tur ja raha hun
isa main kabhi ban kar marde jila raha hun
wahdaniyat pe meri ab to yaqin kar lo
har shakl mein main apna jalwa dikha raha hun
raushan kae hain jis ne jazbaat haqq-e-ta'ala
wo sham-e-haqiqat main dil mein jala raha hun
jin ko ba-juz hamare koi nahin hai sunta
tauhid ke wo naghme har waqt ga raha hun
apni KHabar mein gum hun itni KHabar kahan hai
kis samt se hun aaya kis samt ja raha hun
KHud hun main jam-o-mina KHud hi sharab-e-wahdat
KHud hi main pi raha hun KHud hi pila raha hun
jis mein ba-juz hamare na ho ghair ki samai
apna mai-KHana-e-dil aisa bana raha hun
donon jahan bana kar koi farq hai na aaya
waisa hi hun main jaisa pahle KHuda raha hun
main 'zuhur' hun na zahir banda hun main na maula
apne wajud ko bas main KHayal pa raha hun
- Book : Sharh-e-Haqeeqat, Kalaam-e-Zuhur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.