more piya ghar aae
more piyā ghar aa.e
ai rī sakhī more piyā ghar aa.e
bhaag lage is āñgan ko
bal-bal jā.ūñ maiñ apne piyā ke
charan lagāyo nirdhan ko
maiñ to khaḌī thī aas lagā.e
mehñdī kajrā maañg sajā.e
dekh sūratiyā apne piyā kī
haar ga.ī maiñ tan-man ko
jis kā piyā sañg biite sāvan
us dulhan kī rain suhāgan
jis sāvan meñ piyā ghar nāhīñ
aag lage us sāvan ko
apne piyā ko maiñ kis vidh pā.ūñ
laaj kī maarī maiñ to Dubī-Dubī jā.ūñ
tum hī jatan karo ai rī sakhī rī
maiñ man bhā.ūñ sājan ko
more piya ghar aae
ai ri sakhi more piya ghar aae
bhag lage is aangan ko
bal-bal jaun main apne piya ke
charan lagayo nirdhan ko
main to khaDi thi aas lagae
mehndi kajra mang sajae
dekh suratiya apne piya ki
haar gai main tan-man ko
jis ka piya sang bite sawan
us dulhan ki rain suhagan
jis sawan mein piya ghar nahin
aag lage us sawan ko
apne piya ko main kis widh paun
laj ki mari main to Dubi-Dubi jaun
tum hi jatan karo ai ri sakhi ri
main man bhaun sajan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.