Sufinama

dil pe qabza jamae baiThe hain

Wasil Yazdani

dil pe qabza jamae baiThe hain

Wasil Yazdani

MORE BYWasil Yazdani

    dil pe qabza jamā.e baiThe haiñ

    apne ghar meñ vo aa.e baiThe haiñ

    kaun aa.e nazar sivā un ke

    putliyoñ meñ samā.ae baiThe haiñ

    āfateñ hijr mire sun kar

    kaisī sūrat banā.e baiThe haiñ

    sar mirā aur pā-e-darbāñ hai

    dekhiye chup vo haaye baiThe haiñ

    tire ḳhādim na kyuuñ baneñ maḳhdūm

    tujh se nisbat lagā.e baiThe haiñ

    terī masnad ke ham haiñ kab qābil

    tere hāthoñ biThā.e baiThe haiñ

    raaz kyā hai ki hazrat-e-'vāsil'

    mutma.in sab gañvā.e baiThe haiñ

    dil pe qabza jamae baiThe hain

    apne ghar mein wo aae baiThe hain

    kaun aae nazar siwa un ke

    putliyon mein samaae baiThe hain

    aafaten hijr ki mere sun kar

    kaisi surat banae baiThe hain

    sar mera aur pa-e-darban hai

    dekhiye chup wo haye baiThe hain

    tere KHadim na kyun banen maKHdum

    tujh se nisbat lagae baiThe hain

    teri masnad ke hum hain kab qabil

    tere hathon biThae baiThe hain

    raaz kya hai ki hazrat-e-'wasil'

    mutmain sab ganwae baiThe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now