dekhna gar ho pyar ki aanKHen
dekhnā gar ho pyaar kī āñḳheñ
dekh lo mere yaar kī āñḳheñ
haaye kaisī haiñ pyaar kī āñḳheñ
kitnī pyārī haiñ yaar kī āñḳheñ
saiñkaḌoñ dil fidā hue dil se
sadqe tujh par hazār kī āñḳheñ
jis ne dekhī jhalak vo mast huā
haiñ vo aisī bahār kī āñḳheñ
koī gul-rū hai dil se jhāñk rahā
surḳh rahtī haiñ yaar kī āñḳheñ
bulbul-e-dil ke haiñ ye sar-chashme
gun haiñ do gul-ezār kī āñḳheñ
sar ḳhushī se ye mast rahtī haiñ
nahīñ hargiz ḳhumār kī āñḳheñ
chup hī chup yuuñ jatā diyā sab kuchh
haiñ ye qaul-o-qarār kī āñḳheñ
dil pe qabza ho ik nazar meñ hī
goyā haiñ shahsavār kī āñḳheñ
'ishq jis ko huā huā 'vāsil'
haiñ yahī husn-e-yār kī āñḳheñ
dekhna gar ho pyar ki aanKHen
dekh lo mere yar ki aanKHen
haye kaisi hain pyar ki aanKHen
kitni pyari hain yar ki aanKHen
sainkaDon dil fida hue dil se
sadqe tujh par hazar ki aanKHen
jis ne dekhi jhalak wo mast hua
hain wo aisi bahaar ki aanKHen
koi gul-ru hai dil se jhank raha
surKH rahti hain yar ki aanKHen
bulbul-e-dil ke hain ye sar-chashme
gun hain do gul-ezar ki aanKHen
sar KHushi se ye mast rahti hain
nahin hargiz KHumar ki aanKHen
chup hi chup yun jata diya sab kuchh
hain ye qaul-o-qarar ki aanKHen
dil pe qabza ho ek nazar mein hi
goya hain shahsawar ki aanKHen
'ishq jis ko hua hua 'wasil'
hain yahi husn-e-yar ki aanKHen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.