tumhaari yaad mein gumrah ho gaya hun main
tumhārī yaad meñ gumrāh ho gayā huuñ maiñ
tajalliyāt kī duniyā meñ kho gayā huuñ maiñ
ḳhudā kare na uThūñ tā-abad tamannā hai
tumhār paañv pe sar rakh ke so gayā huuñ maiñ
kHayāl-o-dil-o-nazar sab haiñ rahn-e-mai-kHāna
agar gayā bhī to mastī meñ jo gayā huuñ maiñ
tere kahe se to vaa.iz hai sab ġhazab mujh par
tamām 'umr meñ vaañ aaj to gayā huuñ maiñ
kamāl-e-’ishaq hai bad-nāmiyoñ ke dāman meñ
gul-e-murād kī ḳhushbū meñ kho gayā huuñ maiñ
pata jo pūchhte vāsil kā phirte ho har jā
huuñ paas aap ke aap hī kā ho gayā huuñ maiñ
tumhaari yaad mein gumrah ho gaya hun main
tajalliyat ki duniya mein kho gaya hun main
KHuda kare na uThun ta-abad tamanna hai
tumhaar panw pe sar rakh ke so gaya hun main
kHayal-o-dil-o-nazar sab hain rahn-e-mai-kHana
agar gaya bhi to masti mein jo gaya hun main
tere kahe se to waiz hai sab ghazab mujh par
tamam 'umr mein wan aaj to gaya hun main
kamal-e-’ishaq hai bad-namiyon ke daman mein
gul-e-murad ki KHushbu mein kho gaya hun main
pata jo puchhte wasil ka phirte ho har ja
hun pas aap ke aap hi ka ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.