sharab-KHana ka tujhse qiyam hai saqi
sharāb-ḳhāna kā tujh se qiyām hai saaqī
kisī se kyā hai ġharaz tujh se kaam hai saaqī
fazā-e-dahr se barse haiñ mastiyāñ paiham
sharāb-e-nāb se labrez jaam hai saaqī
tamām dahr jo masrūf-e-'aish ho to ho
hamāre paas to bas terā naam hai saaqī
bahār-o-abrū chaman sab haiñ tū nahīñ hamdam
tire baġhair piinā harām hai saaqī
nigāh ḳhaas se ho ik ishāra us jānib
ke terā naam to mash.hūr aam hai saaqī
sab samajhtī hai duniyā hai vāsil-e-yazdāñ
hai sach to ye ki vo terā ġhulām hai saaqī
sharab-KHana ka tujh se qiyam hai saqi
kisi se kya hai gharaz tujh se kaam hai saqi
faza-e-dahr se barse hain mastiyan paiham
sharab-e-nab se labrez jam hai saqi
tamam dahr jo masruf-e-'aish ho to ho
hamare pas to bas tera nam hai saqi
bahaar-o-abru chaman sab hain tu nahin hamdam
tere baghair pina haram hai saqi
nigah KHas se ho ek ishaara us jaanib
ke tera nam to mashhur aam hai saqi
sab samajhti hai duniya hai wasil-e-yazdan
hai sach to ye ki wo tera ghulam hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.