KHud chali aaegi laila qais ka dil chahiye
ḳhud chalī aa.egī lailā qais kā dil chāhiye
'ishq meñ tāsīr hai par jazb-e-kāmil chāhiye
kyā dikhā.eñ hāl-e-ġham hai bahr-e-nā-paidā kanār
sar paTakne ke liye dariyā ko sāhil chāhiye
hai hamāre dam se zinda mad.h-e-husn-e-dilbarī
shohrat-e-gul ke liye shor-e-'anādil chāhiye
kah rahe haiñ mujh se vo ham bāñTte haiñ jins-e-'ishq
ham ko māñge ham se ḳhud par aisā sāhil chāhiye
teġh hai maujūd sar hāzir hai maqtal sāmne
bas faqat 'vāsil' ko ek tum saahī qātil chāhiye
KHud chali aaegi laila qais ka dil chahiye
'ishq mein tasir hai par jazb-e-kaamil chahiye
kya dikhaen haal-e-gham hai bahr-e-na-paida kanar
sar paTakne ke liye dariya ko sahil chahiye
hai hamare dam se zinda madh-e-husn-e-dilbari
shohrat-e-gul ke liye shor-e-'anadil chahiye
kah rahe hain mujh se wo hum banTte hain jins-e-'ishq
hum ko mange hum se KHud par aisa sahil chahiye
tegh hai maujud sar hazir hai maqtal samne
bas faqat 'wasil' ko ek tum sahi qatil chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.