main bura hun ya bhala hun meri laj ko nibhana
main bura hun ya bhala hun meri laj ko nibhana
Muhammad Ali Zuhoori
MORE BYMuhammad Ali Zuhoori
maiñ burā huuñ yā bhalā huuñ merī laaj ko nibhānā
mujhe jāntā hai sājan tere naam se zamāna
terī 'āshiqī se pahle mujhe kaun jāntā thā
tere 'ishq ne banā dī merī zindagī fasāna
mujhe is kā ġham nahīñ hai ke badal ga.ī hai duniyā
merī zindagī hai tum se kahīñ tum badal na jaanā
tū navāzne pe aa.e to navāz de zamāna
tū karīm hī jo Thahrā to karam kā kyā Thikāna
tū mamba’e-'atā hai ki pukār uThā zamāna
vo karam-navāziyāñ kī karam kā kyā Thikāna
chaukhaT pe aa gayā huuñ sarkār aaj sun lo
mirī dukh-bharī kahānī mirā dukh-bharā fasāna
rahne de mujh ko apne qadmoñ kī dhuul ban kar
jo na ho tumheñ gavārā mujhe ḳhaak meñ milānā
tire naam se 'zuhūrī' mujhe jāntī hai duniyā
tirā jab se ho gayā huuñ mirā ho gayā zamāna
main bura hun ya bhala hun meri laj ko nibhana
mujhe jaanta hai sajan tere nam se zamana
teri 'ashiqi se pahle mujhe kaun jaanta tha
tere 'ishq ne bana di meri zindagi fasana
mujhe is ka gham nahin hai ke badal gai hai duniya
meri zindagi hai tum se kahin tum badal na jaana
tu nawazne pe aae to nawaz de zamana
tu karim hi jo Thahra to karam ka kya Thikana
tu mamba’e-'ata hai ki pukar uTha zamana
wo karam-nawaziyan ki karam ka kya Thikana
chaukhaT pe aa gaya hun sarkar aaj sun lo
meri dukh-bhari kahani mera dukh-bhara fasana
rahne de mujh ko apne qadmon ki dhul ban kar
jo na ho tumhein gawara mujhe KHak mein milana
tere nam se 'zuhuri' mujhe jaanti hai duniya
tera jab se ho gaya hun mera ho gaya zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.