humne sau aafaten mol li jaan-e-jaan ek tumhaari hi raazi KHushi ke liye
humne sau aafaten mol li jaan-e-jaan ek tumhaari hi raazi KHushi ke liye
Muhammad Ashraf
MORE BYMuhammad Ashraf
ham ne sau āfateñ mol lī jān-e-jāñ ik tumhārī hī raazī ḳhushī ke liye
'ishq meñ jān-o-dil sab hī ham kho chuke zindagī bech dī zindagī ke liye
jab se paayā huuñ maiñ rāz-e-haq sāqiyā tere dar pe jhukāyā huuñ sar sāqiyā
koī kāfir kahe yā kuchh bhī kahe merā ka'aba hai ye bandagī ke liye
zāhid-e-ḳhushk kyā jānegā ye raaz kyā saañs siine meñ bajtā hai ye saaz kyā
dil kī dhaḌkan se aatī hai āvāz kyā ḳhud hī ḳhud boltā hai ḳhudī ke liye
ik mu'amma huuñ maiñ tum ko samjhā.ūñ kyā kis kā naqsha huuñ maiñ tum ko batlā.ūñ kyā
ḳhud rahā raaz meñ mujh ko rusvā kiyā ik khilaunā huuñ maiñ dil-lagī ke liye
un ke kahte hī 'ālam 'ayāñ ho gayā ḳhud hī naqsh-o-nigār-e-jahāñ ho gayā
ḳhud hī rūh-e-ravāñ meñ nihāñ ho gayā rāhbar chāhiye rahbarī ke liye
ek arz-o-samā kā vahī nuur hai nahnu-o-'aqrab kahā hai kahāñ duur hai
aañkh raushan nahīñ qalb raushan nahīñ aur taraste raheñ raushnī ke liye
bas tasavvur meñ har dam mirā yaar ho mere pesh-e-nazar merā dil-dār ho
dil meñ har-dam basā aap kā pyaar ho ye davā hai mirī be-kalī ke liye
kyuuñ phirūñ dar badar ab maiñ jā.ūñ kahāñ aap hī to haiñ ḳhālid mirī jān-e-jāñ
merī qismat meñ 'ashraf' ye hai āstāñ maiñ huuñ mukHtas tire kHālidī ke liye
hum ne sau aafaten mol li jaan-e-jaan ek tumhaari hi raazi KHushi ke liye
'ishq mein jaan-o-dil sab hi hum kho chuke zindagi bech di zindagi ke liye
jab se paya hun main raaz-e-haq saqiya tere dar pe jhukaya hun sar saqiya
koi kafir kahe ya kuchh bhi kahe mera ka'aba hai ye bandagi ke liye
zahid-e-KHushk kya jaanega ye raaz kya sans sine mein bajta hai ye saz kya
dil ki dhaDkan se aati hai aawaz kya KHud hi KHud bolta hai KHudi ke liye
ek mu'amma hun main tum ko samjhaun kya kis ka naqsha hun main tum ko batlaun kya
KHud raha raaz mein mujh ko ruswa kiya ek khilauna hun main dil-lagi ke liye
un ke kahte hi 'alam 'ayan ho gaya KHud hi naqsh-o-nigar-e-jahan ho gaya
KHud hi ruh-e-rawan mein nihan ho gaya rahbar chahiye rahbari ke liye
ek arz-o-sama ka wahi nur hai nahnu-o-'aqrab kaha hai kahan dur hai
aankh raushan nahin qalb raushan nahin aur taraste rahen raushni ke liye
bas tasawwur mein har dam mera yar ho mere pesh-e-nazar mera dil-dar ho
dil mein har-dam basa aap ka pyar ho ye dawa hai meri be-kali ke liye
kyun phirun dar badar ab main jaun kahan aap hi to hain KHalid meri jaan-e-jaan
meri qismat mein 'ashraf' ye hai aastan main hun mukHtas tere kHalidi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.