chala aahista-ahista tere kalima se dam mera

chala aahista-ahista tere kalima se dam mera
Muhammad Badshah Qadeer
MORE BYMuhammad Badshah Qadeer
chalā āhista-āhista tire kalima se dam merā
naza.a meñ kaise bhūlūñ hai vazīfa dam-badam merā
yahī irshād-e-murshid hai yahī to rāz-e-murshid hai
murād paayā merā nafs-e-’adū’-e-be-sharam merā
hai hastī meñ 'ajab hastī vīrāne meñ hai jag-bastī
muqaddar se milā khoyā huā dard-o-alam merā
tamannā.eñ vo bar laa.eñ paḌheñ kalima vo paḌvāyeñ
alam-nashrah-laka-sadrak se pur dil kā haram merā
zamāna āḳhirī aayā ḳhudī khoyā ḳhudā paayā
jamāyā pīr-e-kāmil ne yahī kah ki qadam merā
jahāñ meñ jitnī arvāheñ haiñ aa.ī aur jo aa.eñ
ba-sad tā'zīm 'qadīr' sar ko jhukā.e luuñ salām merā
chala aahista-ahista tere kalima se dam mera
naza mein kaise bhulun hai wazifa dam-badam mera
yahi irshad-e-murshid hai yahi to raaz-e-murshid hai
murad paya mera nafs-e-’adu’-e-be-sharam mera
hai hasti mein 'ajab hasti virane mein hai jag-basti
muqaddar se mila khoya hua dard-o-alam mera
tamannaen wo bar laen paDhen kalima wo paDwayen
alam-nashrah-laka-sadrak se pur dil ka haram mera
zamana aaKHiri aaya KHudi khoya KHuda paya
jamaya pir-e-kaamil ne yahi kah ki qadam mera
jahan mein jitni arwahen hain aai aur jo aaen
ba-sad ta'zim 'qadir' sar ko jhukae lun salam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.