wo jali hai ya KHafi hai kya bayan ho zaban se
vo jalī hai yā ḳhafī hai kyā bayān ho zabāñ se
use sochne samajhne kī bisāt ho kahāñ se
terī aarzū se ḳhālī hai jo dil vo be-sukūñ hai
terī aarzū hai jis ko use bhī sukūñ kahāñ se
vahī jab terā hai hamdam yahī terī bandagī hai
be-niyāz rah zamīñ se be-ġharaz ho āsmāñ se
sirr-e-nihāñ hai lekin aa raaz faash kar duuñ
jo na pā sakā hai ḳhud ko use pā.egā kahāñ se
har had ke paar hai vo vo hadoñ meñ bhī 'ayāñ hai
jo samā gayā nazar meñ vo ḳhudā huā kahāñ se
wo jali hai ya KHafi hai kya bayan ho zaban se
use sochne samajhne ki bisat ho kahan se
teri aarzu se KHali hai jo dil wo be-sukun hai
teri aarzu hai jis ko use bhi sukun kahan se
wahi jab tera hai hamdam yahi teri bandagi hai
be-niyaz rah zamin se be-gharaz ho aasman se
sirr-e-nihan hai lekin aa raaz fash kar dun
jo na pa saka hai KHud ko use paega kahan se
har had ke par hai wo wo hadon mein bhi 'ayan hai
jo sama gaya nazar mein wo KHuda hua kahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.