har chand hai ahl-e-zarf-o-nazar dekhte rahe
har chāñd hai ahl-e-zarf-o-nazar dekhte rahe
sab un ko hasb-e-tāb nazar dekhte rahe
jin kī tajalliyāñ thiiñ 'ayāñ jism-o-jān meñ
kyā zulm kiyā un ko kidhar dekhte rahe
aa.e na janāb nazar vo nigāhoñ ke nuur se
dil meñ phir un ko shām-o-sahar dekhte rahe
ham ko rahā na sāqiyā kuchh hosh mai-kahsī
ham to terī nazar kā asar dekhte rahe
tīr-e-nazar se un ke to koī na bach sakā
ghā.il hue sabhī vo jidhar dekhte rahe
har chand hai ahl-e-zarf-o-nazar dekhte rahe
sab un ko hasb-e-tab nazar dekhte rahe
jin ki tajalliyan thin 'ayan jism-o-jaan mein
kya zulm kiya un ko kidhar dekhte rahe
aae na janab nazar wo nigahon ke nur se
dil mein phir un ko sham-o-sahar dekhte rahe
hum ko raha na saqiya kuchh hosh mai-kahsi
hum to teri nazar ka asar dekhte rahe
tir-e-nazar se un ke to koi na bach saka
ghail hue sabhi wo jidhar dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.