azalon se hun safar mein Thikana na chahiye
azaloñ se huuñ safar meñ Thikāna na chāhiye
tujh se ġharaz hai ham ko zamāna na chāhiye
ye mai-kada hai shaiḳh-e-haram apne raah le
kam-zarf ko idhar kabhī aanā na chāhiye
piinī hai pīji.e magar itnā dhyāñ rahe
piine ke baa'd hosh meñ aanā na chāhiye
parchār-e-haq se peshtar ’irfān-e-’ishq to ho
kachchā ho gar qadam to uThānā na chāhiye
rakkheñ jo rasm-o-rāh salātīn-e-vaqt se
un vā'izoñ ke vaa'z meñ jaanā na chāhiye
azalon se hun safar mein Thikana na chahiye
tujh se gharaz hai hum ko zamana na chahiye
ye mai-kada hai shaiKH-e-haram apne rah le
kam-zarf ko idhar kabhi aana na chahiye
pini hai pijie magar itna dhyan rahe
pine ke ba'd hosh mein aana na chahiye
parchaar-e-haq se peshtar ’irfan-e-’ishq to ho
kachcha ho gar qadam to uThana na chahiye
rakkhen jo rasm-o-rah salatin-e-waqt se
un wa'izon ke wa'z mein jaana na chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.