mujhe be-KHudi ye tu ne bhali chashni chakhai
mujhe be-KHudi ye tu ne bhali chashni chakhai
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
mujhe be-ḳhudī ye tū ne bhalī chāshnī chakhā.ī
kisī aarzū kī dil meñ nahīñ ab rahī samā.ī
na hazar hai na ḳhatar hai na rajā hai ne duā hai
na ḳhayāl-e-bandagī hai na tamannā-e-kHudā.ī
na maqām-e-guftugū hai na mahall-e-justujū hai
na vahāñ havās pahuñcheñ na ḳhirad ko hai rasā.ī
na makīñ hai ne makāñ hai na zamīñ hai ne zamāñ hai
dil-e-be-navā ne mere jahāñ chhāvnī hai chhā.ī
na visāl hai na hijrāñ na surūr hai na ġham hai
jise kahiye ḳhvāb-e-ġhaflat so vo niiñd ham ko aa.ī
man-o-tū uThe jahāñ hoñ havaseñ vahāñ kahāñ hoñ
jo duī ke thī lavāzim so rihā.ī un se paa.ī
yahāñ maiñ rahā huuñ jab to suḳhan-e-'niyāz' bolūñ
sunoge zbān-e-ne se vahī jo kahegā naa.ī
mujhe be-KHudi ye tu ne bhali chashni chakhai
kisi aarzu ki dil mein nahin ab rahi samai
na hazar hai na KHatar hai na raja hai ne dua hai
na KHayal-e-bandagi hai na tamanna-e-kHudai
na maqam-e-guftugu hai na mahall-e-justuju hai
na wahan hawas pahunchen na KHirad ko hai rasai
na makin hai ne makan hai na zamin hai ne zaman hai
dil-e-be-nawa ne mere jahan chhawni hai chhai
na visal hai na hijran na surur hai na gham hai
jise kahiye KHwab-e-ghaflat so wo nind hum ko aai
man-o-tu uThe jahan hon hawasen wahan kahan hon
jo dui ke thi lawazim so rihai un se pai
yahan main raha hun jab to suKHan-e-'niyaz' bolun
sunoge zban-e-ne se wahi jo kahega nai
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 157)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.