mujhe diwana mat samjho kisi ki KHak-e-pa hun main
mujhe dīvāna mat samjho kisī kī ḳhāk-e-pā huuñ maiñ
farishte jis ke darbāñ haiñ vo ḳhāk-āshnā huuñ maiñ
dikhā dūñgā tujhe naqsha unhī mad.hosh āñkhoñ kā
makān-o-lā-makāñ meñ lā-ilāh kī ik sadā huuñ maiñ
har ik jā gūñjtī bijlī hai jab lai-sa-kamislihī kī
kisī jā par fanā huuñ maiñ kisī jā par baqā huuñ maiñ
maiñ huuñ kasrat meñ jalva-gar nihāñ huuñ sirr-e-vahdat kā
nahīñ tum jānte mujh ko liqā-e-qibriyā huuñ maiñ
kabhī rañgoñ meñ be-rañg huuñ kabhī tashbīh meñ tanzīh huuñ
kabhī shāhān-e-shāh 'arshī faqīr-e-be-navā huuñ maiñ
fanā kaisī baqā kaisī jab us ke āshnā Thahre
na samjho ḳhaak kā putlā jamāl-e-kibriyā huuñ maiñ
na momin mujh ko lete haiñ na kāfir mujh ko lete haiñ
samajh meñ hī nahīñ aatī merī hastī ke kyā huuñ maiñ
mujhe diwana mat samjho kisi ki KHak-e-pa hun main
farishte jis ke darban hain wo KHak-ashna hun main
dikha dunga tujhe naqsha unhi madhosh aankhon ka
makan-o-la-makan mein la-ilah ki ek sada hun main
har ek ja gunjti bijli hai jab lai-sa-kamislihi ki
kisi ja par fana hun main kisi ja par baqa hun main
main hun kasrat mein jalwa-gar nihan hun sirr-e-wahdat ka
nahin tum jaante mujh ko liqa-e-qibriya hun main
kabhi rangon mein be-rang hun kabhi tashbih mein tanzih hun
kabhi shahan-e-shah 'arshi faqir-e-be-nawa hun main
fana kaisi baqa kaisi jab us ke aashna Thahre
na samjho KHak ka putla jamal-e-kibriya hun main
na momin mujh ko lete hain na kafir mujh ko lete hain
samajh mein hi nahin aati meri hastī ke kya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.