mujhe ye batāo kahāñ tum nahīñ ho
vahāñ kuchh nahīñ hai jahāñ tum nahīñ ho
tabāhī pe apnī tumhārā gila kyā
zamīñ tum nahīñ āsmāñ tum nahīñ ho
tumheñ kah ke parda-nashīñ kyuuñ pukārūñ
'ayāñ hī 'ayāñ ho nihāñ tum nahīñ ho
mohabbat ke qisse meñ haiñ kul balā.eñ
pareshān vahm-o-gumāñ tum nahīñ ho
suno ye muqaddar kā saarā karam hai
mire haal par mehrbāñ tum nahīñ ho
nigāh-e-basīrat se ye ramz pūchho
kahāñ maiñ nahīñ huuñ kahāñ tum nahīñ ho
hai 'bahzād' hī ke muqaddar meñ ronā
hai vo nauha-ḳhvāñ nauha-ḳhvāñ tum nahīñ ho
mujhe ye batao kahan tum nahin ho
wahan kuchh nahin hai jahan tum nahin ho
tabahi pe apni tumhaara gila kya
zamin tum nahin aasman tum nahin ho
tumhein kah ke parda-nashin kyun pukarun
'ayan hi 'ayan ho nihan tum nahin ho
mohabbat ke qisse mein hain kul balaen
pareshan wahm-o-guman tum nahin ho
suno ye muqaddar ka sara karam hai
mere haal par mehrban tum nahin ho
nigah-e-basirat se ye ramz puchho
kahan main nahin hun kahan tum nahin ho
hai 'bahzad' hi ke muqaddar mein rona
hai wo nauha-KHwan nauha-KHwan tum nahin ho
Videos
This video is playing from YouTube
Shahid Niyazi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.