wo mast aankhen daraaz kakul kaman hai abru to tir mizhgan
wo mast aankhen daraaz kakul kaman hai abru to tir mizhgan
Mulla Aarif Khairabadi
MORE BYMulla Aarif Khairabadi
vo mast āñkheñ darāz kākul kamāñ hai abrū to tiir mizhgāñ
hazār ġhamze har ik adā meñ hazār fitne nazar meñ pinhāñ
vo zulf-e-shab-gūñ hai kufr sāmāñ vo rū-e-anvar hai ain-e-īmāñ
'azīz donoñ haiñ dil ko mere kabhī hoñ kāfir kabhī musalmāñ
nigāheñ tirchhī adā.eñ baakī ba-ġhamza-mastī ba-nāz-shokHī
nazar meñ jaadū bharā hai us kī bachā.ūñ apnā maiñ kaise īmāñ
ġhazab nigāheñ 'ajīb tevar sitam kā baanī vafā kā paikar
ḳhudā hī hāfiz hai dīn-o-dil kā har ik karishma hai dushman-e-jāñ
ba-husn-e-yūsuf ba-lab-masīhā hai mah-jabīnoñ meñ sab se yaktā
batā.ūñ kaise maiñ naam us kā kabhī hai banda kabhī hai yazdāñ
vahī hai rūh-e-ravān-e-'ārif vahī hai īmān-o-dīn-e-'ārif
usī se raushan hai bazm-e-imkāñ vahī chaman hai vahī bahārāñ
wo mast aankhen daraaz kakul kaman hai abru to tir mizhgan
hazar ghamze har ek ada mein hazar fitne nazar mein pinhan
wo zulf-e-shab-gun hai kufr saman wo ru-e-anwar hai ain-e-iman
'aziz donon hain dil ko mere kabhi hon kafir kabhi musalman
nigahen tirchhi adaen baki ba-ghamza-masti ba-naz-shokHi
nazar mein jadu bhara hai us ki bachaun apna main kaise iman
ghazab nigahen 'ajib tewar sitam ka bani wafa ka paikar
KHuda hi hafiz hai din-o-dil ka har ek karishma hai dushman-e-jaan
ba-husn-e-yusuf ba-lab-masiha hai mah-jabinon mein sab se yakta
bataun kaise main nam us ka kabhi hai banda kabhi hai yazdan
wahi hai ruh-e-rawan-e-'arif wahi hai iman-o-din-e-'arif
usi se raushan hai bazm-e-imkan wahi chaman hai wahi bahaaran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.