tumhaare kuche mein jaan-e-jaanan namaz hum yun ada karenge
tumhaare kuche mein jaan-e-jaanan namaz hum yun ada karenge
Mumtaz Ashrafi
MORE BYMumtaz Ashrafi
tumhāre kūche meñ jān-e-jānāñ namāz ham yuuñ adā kareñge
tumhī ko pūjeñge zindagī bhar tumhī ko sajde kiyā kareñge
huzūr ke naqsh-e-pā se ham ko milī hai sajdoñ kī jab ijāzat
ham ahl-e-nisbat batāo to ye namāz kaise qazā kareñge
yahī tarīqa hai 'āshiqoñ kā sanam kī chāhat sanam kī puujā
yahī kiyā hai ye kar rahe haiñ yahī hamesha kiyā kareñge
zamāna ho jaa.e ham se bad-zan nahīñ hai parvā jo sab haiñ dushman
na chhūTe hāthoñ se un kā dāman yahī ḳhudā se du'ā kareñge
hamāre paas ab hamārā kyā hai jo paas hai bhī vo sab hai un kā
hai dil bhī un kā hai jaañ bhī un kī unhīñ pe ye sab fidā kareñge
kisī ko hogā hameñ nahīñ shak ham 'āshiqoñ kā yahī hai maslak
sanam kī puujā agar ḳhatā hai to bārhā ye ḳhatā kareñge
chalo to 'mumtāz' se mileñge vo kushta-e-nāz se mileñge
Thikāna us kā hai kū-e-jānāñ vahīñ pe us kā patā kareñge
tumhaare kuche mein jaan-e-jaanan namaz hum yun ada karenge
tumhi ko pujenge zindagi bhar tumhi ko sajde kiya karenge
huzur ke naqsh-e-pa se hum ko mili hai sajdon ki jab ijazat
hum ahl-e-nisbat batao to ye namaz kaise qaza karenge
yahi tariqa hai 'ashiqon ka sanam ki chahat sanam ki puja
yahi kiya hai ye kar rahe hain yahi hamesha kiya karenge
zamana ho jae hum se bad-zan nahin hai parwa jo sab hain dushman
na chhuTe hathon se un ka daman yahi KHuda se du'a karenge
hamare pas ab hamara kya hai jo pas hai bhi wo sab hai un ka
hai dil bhi un ka hai jaan bhi un ki unhin pe ye sab fida karenge
kisi ko hoga hamein nahin shak hum 'ashiqon ka yahi hai maslak
sanam ki puja agar KHata hai to barha ye KHata karenge
chalo to 'mumtaz' se milenge wo kushta-e-naz se milenge
Thikana us ka hai ku-e-jaanan wahin pe us ka pata karenge
- Book : Subh-e-Bahara'n (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.