kya humse piya taksir bhai kyun daras dikhana bhul gae
kyā ham se piyā taksīr bha.ī kyuuñ daras dikhānā bhuul ga.e
jab ruup dikhā kar man ko liyā vo pichhlā zamāna bhuul ga.e
ye birh-agan ne phūñk diyo sab tan-man jal kar raakh bhayo
bhaḌkā ke piit kī aak jan afsos bujhānā bhuul ga.e
kab ham ko khabar thī us kī piyā yuuñ pheroge chitvan le ke jiyā
vo sanmukh milnā jaat raho sapne meñ bhī aanā bhuul ga.e
tum neh lagā kar ruuTh rahe yahāñ ġham se parān haiñ chhūT rahe
jā des 'arab meñ aise base sab milnā milānā bhuul ga.e
le ab to sajan maiñ mar hī chalā kuchh karnī hai kar lo merī davā
ab piit kā dukhḌā pīchhe paḌā tum daarū pilānā bhuul ga.e
us piit meñ jo kuchh mujh pe banī kyā tum se kahūñ yasrib kī dhanī
thī aas madīne aake marūñ tum mujh ko bulānā bhuul ga.e
tore des kī man ko dhan hai lagī ab lagtā nahīñ hai hind meñ jī
din rain udāsī rahne lagī ham chain kā paanā bhuul ga.e
kyā tum se kahūñ yā sarvar-e-dīñ tum hamrī bipat hī sunte nahīñ
jab kas bal tan kā jaan raho ham shor machānā bhuul ga.e
so bāteñ thiiñ mukh par rain-e-dinā 'mumtāz' phañse jab 'ishq hameñ aa
sab sudh-budh apnī jaatī rahī ik she'r banānā bhuul ga.e
kya hum se piya taksir bhai kyun daras dikhana bhul gae
jab rup dikha kar man ko liya wo pichhla zamana bhul gae
ye birh-agan ne phunk diyo sab tan-man jal kar rakh bhayo
bhaDka ke pit ki aak jan afsos bujhana bhul gae
kab hum ko khabar thi us ki piya yun pheroge chitwan le ke jiya
wo sanmukh milna jat raho sapne mein bhi aana bhul gae
tum neh laga kar ruTh rahe yahan gham se paran hain chhuT rahe
ja des 'arab mein aise base sab milna milana bhul gae
le ab to sajan main mar hi chala kuchh karni hai kar lo meri dawa
ab pit ka dukhDa pichhe paDa tum daru pilana bhul gae
us pit mein jo kuchh mujh pe bani kya tum se kahun yasrib ki dhani
thi aas madine aake marun tum mujh ko bulana bhul gae
tore des ki man ko dhan hai lagi ab lagta nahin hai hind mein ji
din rain udasi rahne lagi hum chain ka pana bhul gae
kya tum se kahun ya sarwar-e-din tum hamri bipat hi sunte nahin
jab kas bal tan ka jaan raho hum shor machana bhul gae
so baaten thin mukh par rain-e-dina 'mumtaz' phanse jab 'ishq hamein aa
sab sudh-budh apni jati rahi ek she'r banana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.