tore dware pe aane ki jab se hai dhun mora hind mein jiw laga hi nahin
tore dvāre pe aane kī jab se hai dhun morā hind meñ jiiv lagā hī nahīñ
usī soch-bichār ne maar liyo more dukh kī khabariyā zarā hī nahīñ
paḌā beḌā morā mañjdhār meñ aa ab do but hai to paar lañghā
morī piyā kā khevan-hār piyā koī jag meñ tumhārī sivā hī neñ
kiyo bed tabīb ne lakhoñ jatan bhayo piit ke dukhḌe se jiinā kaThin
jo maiñ hind nagariyā meñ jiitā bachūñ mujhe rog to aisā lagā hī nahīñ
morā hind se jivrā uchāT more vikkā na kuchh bal paat bhayo
torī daras binā mohe chain paḌe koī hind meñ aisī davā hī nahīñ
ye bhī bhaag kī kashtī hai shaam piyā jise jīvad hī ruuTh gayā
torā daasī huuñ jaisā bhalā huuñ burā ye maiñ kaahe kahūñ ki kathā hī nahīñ
torī sabz Taryā sunahrā kalas bhayo baḌī duur madīna kā des bhī
piyā dvāre pe ki bidah aa.uuñ batā more pag meñ to zor rahā hī nahīñ
lagī birh-agan jiyā nikasat hai koī baat bhī haa.e pūchhat hai
bure vaqt jo aa.e kaam morī koī Dh.aD se to aisā milā hī nahīñ
torī kirpā kī dhuum jag meñ piyā 'mumtāz' pe bhī ab kar do karam
mujhe chitt se bi'ār nāreñ-o-nā torī payyaā parat huuñ ravā hī nahīñ
tore dware pe aane ki jab se hai dhun mora hind mein jiw laga hi nahin
usi soch-bichaar ne mar liyo more dukh ki khabariya zara hi nahin
paDa beDa mora manjdhaar mein aa ab do but hai to par langha
mori piya ka khewan-haar piya koi jag mein tumhaari siwa hi nen
kiyo bed tabib ne lakhon jatan bhayo pit ke dukhDe se jina kaThin
jo main hind nagariya mein jita bachun mujhe rog to aisa laga hi nahin
mora hind se jiwra uchaT more wikka na kuchh bal pat bhayo
tori daras bina mohe chain paDe koi hind mein aisi dawa hi nahin
ye bhi bhag ki kashti hai sham piya jise jiwad hi ruTh gaya
tora dasi hun jaisa bhala hun bura ye main kahe kahun ki katha hi nahin
tori sabz Tarya sunahra kalas bhayo baDi dur madina ka des bhi
piya dware pe ki bidah aaun bata more pag mein to zor raha hi nahin
lagi birh-agan jiya nikasat hai koi baat bhi hae puchhat hai
bure waqt jo aae kaam mori koi DhaD se to aisa mila hi nahin
tori kirpa ki dhum jag mein piya 'mumtaz' pe bhi ab kar do karam
mujhe chitt se bi'ar naren-o-na tori payyaa parat hun rawa hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.