aisi sakhi chatur mili mohe pi ke duware biTha deti
aisī sakhī chātur milī mohe pī ke duvāre biThā detī
maiñ to rāh-e-madīna bhī dekhī nahīñ morī bayyāñ pakaḌ ke batā detī
more man meñ hai ab to joginiyāñ banūñ aur mil ke bhabūt madīna chalūñ
sakhī hind kī nagrī meñ kaahe rahūñ nahīñ biit to chain zarā detī
piyā saat samundar paar baso more pak meñ na chalne kā zor rahā
nahīñ jaatī madīna bhī koī havā mohe mulk-e-'arab meñ uḌā detī
morī maike meñ 'umr to sukh se kaTī chalī pī kī nagariyā to soch paḌī
koī guiyāñ bhī saath na aa.ī more mohe riit vahāñ kī batā detī
maiñ to suunī sijaryā pe tarapt huuñ piyā des 'arab meñ birājat haiñ
kabhī dete jo sapnā meñ dars dikhā vahīñ charnoñ meñ siis navā detī
vā ke duvāre pe jaatī haiñ sakhiyāñ sabhī morī arj kisī ne na itnī kahī
kabhī apnī joganiyā ko lete bulā vo bhī rauza pe jaan gañvā detī
maiñ to rovat rovat bonarī bha.ī piyā DhūñDhat huuñ miltā hī nahīñ
morī maut bhī aatī nahīñ hai sakhī mohe hijr ke ġham se chhuḌā detī
torī piit kī riit na samjhī thī maiñ mujhe kar divānī ga.e yuuñ
jo maiñ jānūñ ko dars na doge piyā to maiñ jog ko aag lagā detī
torī piit kī dukhiyā to maiñ hī nahīñ paḌā rotā hai hijr meñ vo bhī yahīñ
mujhe dar pe bulāte jo shāh-e-'arab 'mumtāz' kā dukhḌā sunā detī
aisi sakhi chatur mili mohe pi ke duware biTha deti
main to rah-e-madina bhi dekhi nahin mori bayyan pakaD ke bata deti
more man mein hai ab to joginiyan banun aur mil ke bhabut madina chalun
sakhi hind ki nagri mein kahe rahun nahin bit to chain zara deti
piya sat samundar par baso more pak mein na chalne ka zor raha
nahin jati madina bhi koi hawa mohe mulk-e-'arab mein uDa deti
mori maike mein 'umr to sukh se kaTi chali pi ki nagariya to soch paDi
koi guiyan bhi sath na aai more mohe rit wahan ki bata deti
main to suni sijarya pe tarapt hun piya des 'arab mein birajat hain
kabhi dete jo sapna mein dars dikha wahin charnon mein sis nawa deti
wa ke duware pe jati hain sakhiyan sabhi mori arj kisi ne na itni kahi
kabhi apni joganiya ko lete bula wo bhi rauza pe jaan ganwa deti
main to rowat rowat bonari bhai piya DhunDhat hun milta hi nahin
mori maut bhi aati nahin hai sakhi mohe hijr ke gham se chhuDa deti
tori pit ki rit na samjhi thi main mujhe kar diwani gae yun
jo main jaanun ko dars na doge piya to main jog ko aag laga deti
tori pit ki dukhiya to main hi nahin paDa rota hai hijr mein wo bhi yahin
mujhe dar pe bulate jo shah-e-'arab 'mumtaz' ka dukhDa suna deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.