ya din ki baaten hoti hain ya raat ki baaten hoti hain
ya din ki baaten hoti hain ya raat ki baaten hoti hain
Munawwar Badayuni
MORE BYMunawwar Badayuni
yā din kī bāteñ hotī haiñ yā raat kī bāteñ hotī haiñ
ye duniyā hai is duniyā meñ har baat kī bāteñ hotī haiñ
din-rāt tumhārī mahfil meñ din-rāt kī bāteñ hotī haiñ
kuchh baat nahīñ hotī lekin be-bāt kī bāteñ hotī haiñ
jis baat kī bāteñ hotī haiñ us baat kī koī baat nahīñ
jis baat kī koī baat nahīñ us baat kī bāteñ hotī haiñ
jis baat pe itnī baat baḌhī us baat meñ koī baat na thī
jab baat pe baat aa jaatī hai tab baat kī bāteñ hotī haiñ
jo baat zabāñ par aa jaa.e vo baat parā.ī hotī hai
jo baat parā.ī hotī hai is baat kī bāteñ hotī haiñ
vo baat kidhar se niklī hai ye baat kahāñ tak jā.egī
jab baat se baat nikaltī hai to baat kī bāteñ hotī haiñ
kuchh baat karo kuchh baat suno kuchh baat chale kuchh baat bane
jo baat bhī hai baat ek hī hai jis baat kī bāteñ hotī haiñ
kuchh baat ghaTā.ī jaatī hai kuchh baat baḌhā.ī jaatī hai
jab baat baḌhā.ī jaatī hai to baat kī bāteñ hotī haiñ
ye baat huī vo baat huī ab baat huī jab baat huī
kyā baat huī kyuuñ baat huī kis baat kī bāteñ hotī haiñ
har baat pe un kī mahfil meñ bātoñ se 'munavār' tañg haiñ ham
is baat kī bāteñ hotī haiñ us baat kī bāteñ hotī haiñ
ya din ki baaten hoti hain ya raat ki baaten hoti hain
ye duniya hai is duniya mein har baat ki baaten hoti hain
din-raat tumhaari mahfil mein din-raat ki baaten hoti hain
kuchh baat nahin hoti lekin be-baat ki baaten hoti hain
jis baat ki baaten hoti hain us baat ki koi baat nahin
jis baat ki koi baat nahin us baat ki baaten hoti hain
jis baat pe itni baat baDhi us baat mein koi baat na thi
jab baat pe baat aa jati hai tab baat ki baaten hoti hain
jo baat zaban par aa jae wo baat parai hoti hai
jo baat parai hoti hai is baat ki baaten hoti hain
wo baat kidhar se nikli hai ye baat kahan tak jaegi
jab baat se baat nikalti hai to baat ki baaten hoti hain
kuchh baat karo kuchh baat suno kuchh baat chale kuchh baat bane
jo baat bhi hai baat ek hi hai jis baat ki baaten hoti hain
kuchh baat ghaTai jati hai kuchh baat baDhai jati hai
jab baat baDhai jati hai to baat ki baaten hoti hain
ye baat hui wo baat hui ab baat hui jab baat hui
kya baat hui kyun baat hui kis baat ki baaten hoti hain
har baat pe un ki mahfil mein baaton se 'munawar' tang hain hum
is baat ki baaten hoti hain us baat ki baaten hoti hain
- Book : Kulliyat-e-Munawwar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.