supurd-e-husn-e-azal mā.il-e-baqā ho jā
fanā-e-'ishq kī takmīl meñ fanā ho jā
hai ibtidā hī se ġhaflat jo intihā kī mujhe
kar ibtidā vo ab apnī ki intihā ho jā
usī se nīstī be-gāngī kī mumkin hai
ki apne jauhar-e-hastī se āshnā ho jā
yahī hai fat.h-e-haqīqat yahī shikast-e-majāz
ki apne husn-e-nihānī pe ḳhud fidā ho jā
rahe mudām-e-nazar terī apne markaz par
muhīt-e-dā.ira-e-tā'at-o-razā ho jā
nihāñ nishāt-e-davāmī kā raaz us meñ hai
jo dil ke saaz se paidā ho vo sadā ho jā
bahut liyā hai munavvar zabān-e-ma.āl se kaam
zabān-e-hāl se bhī ab suḳhan-sarā ho jā
supurd-e-husn-e-azal mail-e-baqa ho ja
fana-e-'ishq ki takmil mein fana ho ja
hai ibtida hi se ghaflat jo intiha ki mujhe
kar ibtida wo ab apni ki intiha ho ja
usi se nisti be-gangi ki mumkin hai
ki apne jauhar-e-hasti se aashna ho ja
yahi hai fath-e-haqiqat yahi shikast-e-majaz
ki apne husn-e-nihani pe KHud fida ho ja
rahe mudam-e-nazar teri apne markaz par
muhit-e-daira-e-ta'at-o-raza ho ja
nihan nishat-e-dawami ka raaz us mein hai
jo dil ke saz se paida ho wo sada ho ja
bahut liya hai munawwar zaban-e-maal se kaam
zaban-e-haal se bhi ab suKHan-sara ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.