jab tire simTe hue jalvoñ ko phailātā huuñ maiñ
ek dil meñ do jahāñ kī vus’ateñ paatā huuñ maiñ
hosh ho jaate haiñ gum jab hosh meñ aatā huuñ maiñ
yaad kiyā karatā huuñ tujh ko bhuul sā jaatā huuñ maiñ
merī 'azmat dīdanī hai 'ālam-e-asbāb meñ
ḳhvāb terā hai magar tā’bīr farmātā huuñ maiñ
jāntā huuñ ye ki 'arz-e-shauq hai tauhīn-e-shauq
phir bhī 'arz-e-shauq par majbūr ho jaatā huuñ maiñ
ā.īne meñ shakl āḳhir kyā ye paidā ho ga.ī
tū nazar aatā hai us meñ yā nazar aatā huuñ maiñ
kuchh tirī shān-e-karam kā āgayā mujh ko ḳhayāl
varna tire sāmne kab haath phailātā huuñ maiñ
zindagī hī zindagī kī ibtidā aa.ī nazar
zindagī ko zindagī kī intihā paatā huuñ maiñ
marg-o-hastī bā'is-e-zahmat nahīñ mere liye
khel haiñ ye do dil apnā jin se bahlātā huuñ maiñ
ye bhī sach hai vahm kar detā hai aksar bad-gumāñ
ye bhī sach hai terī hastī par yaqīñ laatā huuñ maiñ
jab tere simTe hue jalwon ko phailata hun main
ek dil mein do jahan ki wus’aten pata hun main
hosh ho jate hain gum jab hosh mein aata hun main
yaad kiya karata hun tujh ko bhul sa jata hun main
meri 'azmat didani hai 'alam-e-asbab mein
KHwab tera hai magar ta’bir farmata hun main
jaanta hun ye ki 'arz-e-shauq hai tauhin-e-shauq
phir bhi 'arz-e-shauq par majbur ho jata hun main
aaine mein shakl aaKHir kya ye paida ho gai
tu nazar aata hai us mein ya nazar aata hun main
kuchh teri shan-e-karam ka aagaya mujh ko KHayal
warna tere samne kab hath phailata hun main
zindagi hi zindagi ki ibtida aai nazar
zindagi ko zindagi ki intiha pata hun main
marg-o-hasti ba'is-e-zahmat nahin mere liye
khel hain ye do dil apna jin se bahlata hun main
ye bhi sach hai wahm kar deta hai aksar bad-guman
ye bhi sach hai teri hasti par yaqin lata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.