vo jo suḳhan-tarāz ho ḳhud mere dam pe aa bane
jis se savāl maiñ karūñ us se javāb kyā bane
'arsh ko yuuñ banā.e farsh farsh ko yuuñ banā.e 'arsh
gard-e-rah-e-vafā bane dil terī ḳhāk-e-pā bane
kaash tum is kā faisla mere hī dil pe chhoḌ do
kis kī maiñ bandagī karūñ kaun mirā ḳhudā bane
jumbish-e-lab dam-e-talab jumbish-e-rā.egāñ na hoñ
jis meñ ho jazb-e-dil sharīk sirf vahī du'ā bane
mil ke rahegā ḳhud-baḳhud manzil-e-shauq kā surāġh
koī na rāsta batā.e koī na rahnumā bane
kyuuñ na balā.eñ lījiye husn-e-sitam zarīf kī
aap hī ā.īna dikhā.e aap hī ḳhud-numā bane
dil pe ta.alluqāt kā rañg chaḌhe kuchh is tarh
aap hī ḳhud se ġhair ho aap hī āshnā bane
mujh ko 'munavār' is qadar talkHī-e-zīst hai pasand
ho bhī jo qismat-rasā qismat-e-nā-rasā bane
wo jo suKHan-taraaz ho KHud mere dam pe aa bane
jis se sawal main karun us se jawab kya bane
'arsh ko yun banae farsh farsh ko yun banae 'arsh
gard-e-rah-e-wafa bane dil teri KHak-e-pa bane
kash tum is ka faisla mere hi dil pe chhoD do
kis ki main bandagi karun kaun mera KHuda bane
jumbish-e-lab dam-e-talab jumbish-e-raegan na hon
jis mein ho jazb-e-dil sharik sirf wahi du'a bane
mil ke rahega KHud-baKHud manzil-e-shauq ka suragh
koi na rasta batae koi na rahnuma bane
kyun na balaen lijiye husn-e-sitam zarif ki
aap hi aaina dikhae aap hi KHud-numa bane
dil pe talluqat ka rang chaDhe kuchh is tarh
aap hi KHud se ghair ho aap hi aashna bane
mujh ko 'munawar' is qadar talkHi-e-zist hai pasand
ho bhi jo qismat-rasa qismat-e-na-rasa bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.