’ashiq-e-badnam ko parwa-e-nang-o-nam kya
Interesting Fact
’’گلدستۂ قوالی‘‘ صفحہ نمبر ۳ پر بسمل تخلص کے ساتھ بھی یہ غزل ملتی ہے۔
’āshiq-e-badnām ko parvā-e-nang-o-nām kyā
aap jo nākām ho us ko kisī se kaam kyā
bar meñ jab dilbar na ho kis tarh dilbar meñ rahe
jab na ho ārām dil to paa.e dil ārām kyā
ibtidā-e-'ishq meñ ham to ga.e jaan se guzar
intahā-e-'ishq meñ ho dekhiye anjām kyā
jo ki 'muztar' shefta haiñ zulf-o-rū-e-yār kyā
vo samajhte hī nahīñ haiñ kufr kyā islām kyā
’ashiq-e-badnam ko parwa-e-nang-o-nam kya
aap jo nakaam ho us ko kisi se kaam kya
bar mein jab dilbar na ho kis tarh dilbar mein rahe
jab na ho aaram dil to pae dil aaram kya
ibtida-e-'ishq mein hum to gae jaan se guzar
intaha-e-'ishq mein ho dekhiye anjam kya
jo ki 'muztar' shefta hain zulf-o-ru-e-yar kya
wo samajhte hi nahin hain kufr kya islam kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.