zaKHmon se kaleje ko bhar de barbaad sukun-e-dil kar de
zaKHmon se kaleje ko bhar de barbaad sukun-e-dil kar de
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
zaḳhmoñ se kaleje ko bhar de barbād sukūn-e-dil kar de
o naaz bharī chitvan vaale aa aur mujhe bismil kar de
maḳhmūr javānī kā sadqa madfan ko mere Thukrātā jā
us Dher ke bekas zarroñ ko paañv se masal kar gul kar de
āñkhoñ se agar ai chashm-e-hazīñ karnā hai vīrāne ko rañgīñ
un halkī halkī būñdoñ meñ kuchh ḳhūn-e-jigar shāmil kar de
ho ḳhair tere mai-ḳhāne kī tauqīr baḌhe paimāne kī
o mast nazar vaale saaqī mastī bhar de ġhāfil kar de
miTne kī taḌapne rone kī jī bhar ke nahīñ lazzat miltī
har ḳhuun ke qatre ko yā-rab ik zaḳhm-rasīda dil kar de
jab dard se hotā thā muztar kahtā thā ye majnūñ ro-ro kar
duniyā kī har ik shai ko yā-rab lailā kar de mahmil kar de
zaKHmon se kaleje ko bhar de barbaad sukun-e-dil kar de
o naz bhari chitwan wale aa aur mujhe bismil kar de
maKHmur jawani ka sadqa madfan ko mere Thukraata ja
us Dher ke bekas zarron ko panw se masal kar gul kar de
aankhon se agar ai chashm-e-hazin karna hai virane ko rangin
un halki halki bundon mein kuchh KHun-e-jigar shamil kar de
ho KHair tere mai-KHane ki tauqir baDhe paimane ki
o mast nazar wale saqi masti bhar de ghafil kar de
miTne ki taDapne rone ki ji bhar ke nahin lazzat milti
har KHun ke qatre ko ya-rab ek zaKHm-rasida dil kar de
jab dard se hota tha muztar kahta tha ye majnun ro-ro kar
duniya ki har ek shai ko ya-rab laila kar de mahmil kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.