dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye
dil-dādgān-e-husn se parda na chāhiye
dil le ke chhup ga.e tumheñ aisā na chāhiye
dil kaam kā nahīñ to na lo jaañ ye nazr hai
itnī zarā sī baat pe jhagḌā na chāhiye
ai dil sadā usī kī taraf sar jhukā rahe
kā'ba yahī hai ġhair kā sajda na chāhiye
zāhid to baḳhshe jaa.eñ gunahgār muñh takeñ
ai rahmat-e-ḳhudā tujhe aisā na chāhiye
'muztar' mazār-e-hazrat-e-kHvāja na chhoḌiye
ajmer ke dayār se jaanā na chāhiye
dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye
dil le ke chhup gae tumhein aisa na chahiye
dil kaam ka nahin to na lo jaan ye nazr hai
itni zara si baat pe jhagDa na chahiye
ai dil sada usi ki taraf sar jhuka rahe
ka'ba yahi hai ghair ka sajda na chahiye
zahid to baKHshe jaen gunahgar munh taken
ai rahmat-e-KHuda tujhe aisa na chahiye
'muztar' mazar-e-hazrat-e-kHwaja na chhoDiye
ajmer ke dayar se jaana na chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.