guzar us waqt hua hai sar-e-madfan un ka
guzar us vaqt huā hai sar-e-madfan un kā
hargiz ai dast-e-talab chhoḌ na dāman un kā
yā ilāhī ye tamannā hai ki roz-e-mahshar
lab pe ho naam tirā haath meñ dāman un kā
toḌ kar taḳhta meñ marqad se nikal ā.ūñgā
be-kasī naam na lenā sar-e-madfan un kā
haa.e us 'ishq ne donoñ ko banāyā kāfir
barahman naam hai merā but-e-pur-fan un kā
vasl meñ kyā hai mire paas jo maiñ nazr karūñ
dil adāoñ kā jigar naaz kā tan man un kā
khul paḌā dil jo hamārā to uThāne ke liye
ḳhaak par lauT paḌā gosha-e-dāman un kā
maiñ jo dīvāna huuñ 'muztar' to vo harjā.ī hai
na Thikānā kahīñ merā hai na maskan un kā
guzar us waqt hua hai sar-e-madfan un ka
hargiz ai dast-e-talab chhoD na daman un ka
ya ilahi ye tamanna hai ki roz-e-mahshar
lab pe ho nam tera hath mein daman un ka
toD kar taKHta mein marqad se nikal aaunga
be-kasi nam na lena sar-e-madfan un ka
hae us 'ishq ne donon ko banaya kafir
barahman nam hai mera but-e-pur-fan un ka
wasl mein kya hai mere pas jo main nazr karun
dil adaon ka jigar naz ka tan man un ka
khul paDa dil jo hamara to uThane ke liye
KHak par lauT paDa gosha-e-daman un ka
main jo diwana hun 'muztar' to wo harjai hai
na Thikana kahin mera hai na maskan un ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.