na shauq-e-wasl ka mauqa na zauq-e-ashnai ka
na shauq-e-vasl kā mauqa na zauq-e-āshnā.ī kā
maiñ ik nāchīz banda aur use da.ava ḳhudā.ī kā
paḌā sad shukr jo daaġh apne siine meñ judā.ī kā
sitāra ban gayā āḳhir vo sub.h-e-āshnā.ī kā
darāzī dhyān meñ aatī hai kab roz-e-qiyāmat kī
ki ik paivand hai pairāhan roz-e-judā.ī kā
bane jo mauj apne bahr-e-ḳhūñ meñ halqa ai qātil
ilāhī ho vo chhallā terī añgusht-e-hinā.ī kā
naved-e-vasl āshiq ke liye hai sadma-e-furqat
ubharnā baiTh jaanā hai muhīt-e-āshnā.ī kā
jalātā kyuuñ hai ai dil mujh ko shauq-e-vasl bhaḌkā kar
are is aag se tū phūñk de parda judā.ī kā
ilāhī kaun se mujrim kī aamad hai qiyāmat meñ
huā hai hukm ke ko ye kis kī peshvā.ī kā
hadaf dil ko banāte haiñ jo kuchh kahiye to kahte haiñ
sikhāte haiñ chalan tīroñ ko apne dilrubā.ī kā
pahuñch kar yaar tak be-ḳhud hue pahuñche na matlab ko
rasā.ī ne diyā kyā daaġh ham ko nā-rasā.ī kā
qadam terā jahñ paḌtā hai bū mehñdī kī aatī hai
tire naqsh-e-qadam meñ rañg hai pā-e-hinā.ī kā
shab-e-vaslat nazākat un kī shauq-e-vasl se bolī
taras khā mujh pe zālim vaqt hai be-dast-o-pā.ī kā
vafā manzūr us ko bhī nahīñ hai us kī furqat meñ
sabaq paḌhne chalī hai umr us se bevafā.ī kā
tumhīñ tum ā.īna-ḳhāne meñ ho chāroñ taraf dekho
kaho jī ab bhī kuchh armān niklā ḳhud-numā.ī kā
palaT kar saikḌoñ kaalī balā.eñ bose letī haiñ
inhīñ bātoñ se muñh kaalā hai shabhā-e-judā.ī kā
sar us ke paañv par rakhiye banā.e haiñ ye but jis ne
maza hai ḳhaak patthar paa.e but par jab.ha-sā.ī kā
bahut hī bhar gayā hai umr kā paimāna ab chhalkā
charāġh ik jhilmilātā sā hai bazm-e-āshnā.ī kā
qafas meñ huuñ magar saarā chaman āñkhoñ ke aage hai
rihā.ī ke barābar ab tasavvur se rihā.ī kā
nahīñ mumkin hai sonā hijr meñ niiñd aa nahīñ saktī
tilā ye phir rahā hai aañkh meñ tauq-e-tilā.ī kā
amīr-e-kHasta-jāñ aafat meñ hai yā haidar-e-safdar
kaaro imdād is kī vaqt hai mushkil-kushā.ī kā
na shauq-e-wasl ka mauqa na zauq-e-ashnai ka
main ek nachiz banda aur use dawa KHudai ka
paDa sad shukr jo dagh apne sine mein judai ka
sitara ban gaya aaKHir wo subh-e-ashnai ka
daraazi dhyan mein aati hai kab roz-e-qiyamat ki
ki ek paiwand hai pairahan roz-e-judai ka
bane jo mauj apne bahr-e-KHun mein halqa ai qatil
ilahi ho wo chhalla teri angusht-e-hinai ka
nawed-e-wasl aashiq ke liye hai sadma-e-furqat
ubharna baiTh jaana hai muhit-e-ashnai ka
jalata kyun hai ai dil mujh ko shauq-e-wasl bhaDka kar
are is aag se tu phunk de parda judai ka
ilahi kaun se mujrim ki aamad hai qiyamat mein
hua hai hukm ke ko ye kis ki peshwai ka
hadaf dil ko banate hain jo kuchh kahiye to kahte hain
sikhate hain chalan tiron ko apne dilrubai ka
pahunch kar yar tak be-KHud hue pahunche na matlab ko
rasai ne diya kya dagh hum ko na-rasai ka
qadam tera jahn paDta hai bu mehndi ki aati hai
tere naqsh-e-qadam mein rang hai pa-e-hinai ka
shab-e-waslat nazakat un ki shauq-e-wasl se boli
taras kha mujh pe zalim waqt hai be-dast-o-pai ka
wafa manzur us ko bhi nahin hai us ki furqat mein
sabaq paDhne chali hai umr us se bewafai ka
tumhin tum aaina-KHane mein ho chaaron taraf dekho
kaho ji ab bhi kuchh arman nikla KHud-numai ka
palaT kar saikDon kali balaen bose leti hain
inhin baaton se munh kala hai shabha-e-judai ka
sar us ke panw par rakhiye banae hain ye but jis ne
maza hai KHak patthar pae but par jabha-sai ka
bahut hi bhar gaya hai umr ka paimana ab chhalka
charagh ek jhilmilata sa hai bazm-e-ashnai ka
qafas mein hun magar sara chaman aankhon ke aage hai
rihai ke barabar ab tasawwur se rihai ka
nahin mumkin hai sona hijr mein nind aa nahin sakti
tila ye phir raha hai aankh mein tauq-e-tilai ka
amir-e-kHasta-jaan aafat mein hai ya haidar-e-safdar
karo imdad is ki waqt hai mushkil-kushai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.