nawak-e-naz se mushkil hai bachana dil ka
nāvak-e-nāz se mushkil hai bachānā dil kā
dard uTh uTh ke batātā hai Thikānā dil kā
lauT jaate the hasīñ dekh ke aanā dil kā
kyā muāfiq thā javānī meñ zamāna dil kā
kahte haiñ kyā maiñ karūñ sun ke fasānā dil kā
vahī jhagḌā vahī dukhḌā hai purānā dil kā
āfrīñ kahne se ruk jaatā hai qātil merā
lazzat-e-qatl ghaTātā hai baḌhānā dil kā
is ne dekhā use aur us ne ise dekh liyā
ab to dushvār hai pahlū meñ chhupānā dil kā
aaj is shauq se paikāñ mere dil meñ aayā
aa gayā yaad kisī shoḳh par aanā dil kā
haa.e vo pahlī mulāqāt meñ merā ruknā
aur us kā vo lagāvaT se baḌhānā dil kā
ishq meñ sabr kahāñ zabt kahāñ taab kahāñ
jaan jaanā nahīñ hamdam ye hai jalnā dil kā
nichle baiThe raho qadmoñ pe paḌā rahne do
dekho achchhā nahīñ ai jaan uThānā dil kā
qais kam-zarf thā farhād tañg-hausla thā
dil lagī ham to samajhte haiñ lagānā dil kā
siina chhalnī kiye detī haiñ nigāheñ un kī
DhūñDte phirte haiñ ye tiir Thikānā dil kā
yuuñ na haath aa.egā ye maal kabhī duzd-e-hinā
siikh duzdīda nigāhī se churānā dil kā
muttasil aah kī pahlū se sadā aatī hai
ab vo hai dard kā ghar thā jo Thikānā dil kā
nigah-e-nāz se kahte haiñ uḌā de us ko
sāmne aa hī gayā ab to nishānā dil kā
jī lage aap kā aisā ki kabhī jī na bhare
dil lagā kar jo suneñ aap fasānā dil kā
hasrat-o-dard kā allāh re furqat meñ hujūm
ki nahīñ ab kisī goshe meñ Thikānā dil kā
dil mirā le ke dikhā dī mujhe muTThī ḳhālī
phir kahā dekh liyā haath se jaanā dil kā
haaye vo dekh ke ubhrā huā joban un kā
donoñ hāthoñ se mirā shab ko dabānā dil kā
mashrab-e-ishq meñ kaisī haiñ ye ulTī bāteñ
dil ke jaane ko ye kyuuñ kahte haiñ aanā dil kā
dil jo diiñ un se to ai jaan ye gahrā parda
aur ravā rakhte ho parde meñ bhī aanā dil kā
kisī pahlū pe vo aa.eñ magar aa.eñ to sahī
na suneñ baat mirī sun leñ fasānā dil kā
garmiyāñ karne kā hai ḳhuub salīqa un ko
sīkho āñkhoñ kī sharārat se jalānā dil kā
pher kar muñh mujhe taḌpāte haiñ aur kahte haiñ
ruḳh badal kar ham uḌāte haiñ nishānā dil kā
jitne armān the jī bhar ke nikāle ai jaan
vasl meñ luuT liyā tum ne ḳhazānā dil kā
nigah-e-nāz se ġhamze ne kahā taḌpā kar
yuuñ uḌā dete haiñ ustād nishānā dil kā
har nigah-e-vasl meñ us shoḳh kī kahtī hai 'amīr'
ho jise hukm uḌā de vo nishānā dil kā
nawak-e-naz se mushkil hai bachana dil ka
dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka
lauT jate the hasin dekh ke aana dil ka
kya muafiq tha jawani mein zamana dil ka
kahte hain kya main karun sun ke fasana dil ka
wahi jhagDa wahi dukhDa hai purana dil ka
aafrin kahne se ruk jata hai qatil mera
lazzat-e-qatl ghaTata hai baDhana dil ka
is ne dekha use aur us ne ise dekh liya
ab to dushwar hai pahlu mein chhupana dil ka
aaj is shauq se paikan mere dil mein aaya
aa gaya yaad kisi shoKH par aana dil ka
hae wo pahli mulaqat mein mera rukna
aur us ka wo lagawaT se baDhana dil ka
ishq mein sabr kahan zabt kahan tab kahan
jaan jaana nahin hamdam ye hai jalna dil ka
nichle baiThe raho qadmon pe paDa rahne do
dekho achchha nahin ai jaan uThana dil ka
qais kam-zarf tha farhad tang-hausla tha
dil lagi hum to samajhte hain lagana dil ka
sina chhalni kiye deti hain nigahen un ki
DhunDte phirte hain ye tir Thikana dil ka
yun na hath aaega ye mal kabhi duzd-e-hina
sikh duzdida nigahi se churana dil ka
muttasil aah ki pahlu se sada aati hai
ab wo hai dard ka ghar tha jo Thikana dil ka
nigah-e-naz se kahte hain uDa de us ko
samne aa hi gaya ab to nishana dil ka
ji lage aap ka aisa ki kabhi ji na bhare
dil laga kar jo sunen aap fasana dil ka
hasrat-o-dard ka allah re furqat mein hujum
ki nahin ab kisi goshe mein Thikana dil ka
dil mera le ke dikha di mujhe muTThi KHali
phir kaha dekh liya hath se jaana dil ka
haye wo dekh ke ubhra hua joban un ka
donon hathon se mera shab ko dabana dil ka
mashrab-e-ishq mein kaisi hain ye ulTi baaten
dil ke jaane ko ye kyun kahte hain aana dil ka
dil jo din un se to ai jaan ye gahra parda
aur rawa rakhte ho parde mein bhi aana dil ka
kisi pahlu pe wo aaen magar aaen to sahi
na sunen baat meri sun len fasana dil ka
garmiyan karne ka hai KHub saliqa un ko
sikho aankhon ki shararat se jalana dil ka
pher kar munh mujhe taDpate hain aur kahte hain
ruKH badal kar hum uDate hain nishana dil ka
jitne arman the ji bhar ke nikale ai jaan
wasl mein luT liya tum ne KHazana dil ka
nigah-e-naz se ghamze ne kaha taDpa kar
yun uDa dete hain ustad nishana dil ka
har nigah-e-wasl mein us shoKH ki kahti hai 'amir'
ho jise hukm uDa de wo nishana dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.