aaj phir taqdir chamki talib-e-didar ki
aaj phir taqdīr chamkī tālib-e-dīdār kī
phir huiiñ pur-nūr āñkheñ rauzan-e-dīvār kī
ho ga.ī tīr-e-nigāh-e-nāz kī shāyad hadaf
aaj kyuuñ rañgat nahīñ uḌtī ruḳh-e-bīmār kī
kyā kahūñ yā-rab tarīq-e-'ishq kī majbūriyāñ
minnateñ karnī paḌīñ haiñ ab mujhe aġhyār kī
yuuñ bhī parda rah gayā uftādgān-e-kHāk kā
oḌh lī chādar kisī ke sāya-e-dīvār kī
ā.īna pesh-e-nazar ārā.ish-e-gesū meñ hai
beḌiyāñ bantī haiñ ab pā-e-nigāh-e-yār kī
phuul haiñ bikhre hue jitne 'adū kī bazm haiñ
dhajjiyāñ haiñ sab ye mere zaḳhm-e-dāman-dār kī
pairvī-e-momin-o-ġhālib kā hai ‘bartar’ ye faiz
hai ravish sab se judāgāna mere ash'ār kī
aaj phir taqdir chamki talib-e-didar ki
phir huin pur-nur aankhen rauzan-e-diwar ki
ho gai tir-e-nigah-e-naz ki shayad hadaf
aaj kyun rangat nahin uDti ruKH-e-bimar ki
kya kahun ya-rab tariq-e-'ishq ki majburiyan
minnaten karni paDin hain ab mujhe aghyar ki
yun bhi parda rah gaya uftadgan-e-kHak ka
oDh li chadar kisi ke saya-e-diwar ki
aaina pesh-e-nazar aaraish-e-gesu mein hai
beDiyan banti hain ab pa-e-nigah-e-yar ki
phul hain bikhre hue jitne 'adu ki bazm hain
dhajjiyan hain sab ye mere zaKHm-e-daman-dar ki
pairwi-e-momin-o-ghaalib ka hai ‘bartar’ ye faiz
hai rawish sab se judagana mere ash'ar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.