bahut hi be-wafa nikle bahut hi pur-jafa nikle
Interesting Fact
بیاض عبداللہ نیازی قوال
bahut hī be-vafā nikle bahut hī pur-jafā nikle
samajh rakhā thā ham ne tum ko kyā afsos kyā nikle
taḌaptā kyuuñ hai ai dil kaash terā mudda'ā nikle
ki vaqt-e-naz.a tujh ko dekhne shāyad vo aa nikle
merī āñkhoñ se tū hī dekh aanā us parī-vash ko
jo kū-e-yār se phirtī huī bād-e-sabā nikle
tere vābasta-e-dīdār ko dīdār ko hasrat na rah jaa.e
qayāmat meñ ilāhī kuchh na kuchh merī ḳhatā nikle
yūñhī vo roz-e-vafā par tujhe Tāleñge ai 'nādir'
ye mumkin hī nahīñ koī jo terā mudda'ā nikle
bahut hi be-wafa nikle bahut hi pur-jafa nikle
samajh rakha tha hum ne tum ko kya afsos kya nikle
taDapta kyun hai ai dil kash tera mudda'a nikle
ki waqt-e-naza tujh ko dekhne shayad wo aa nikle
meri aankhon se tu hi dekh aana us pari-wash ko
jo ku-e-yar se phirti hui baad-e-saba nikle
tere wabasta-e-didar ko didar ko hasrat na rah jae
qayamat mein ilahi kuchh na kuchh meri KHata nikle
yunhi wo roz-e-wafa par tujhe Talenge ai 'nadir'
ye mumkin hi nahin koi jo tera mudda'a nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.