aaj kHum-kHana-e-wahdat se pila de saqi
aaj kHum-kHāna-e-vahdat se pilā de saaqī
sar-basar naqsh-e-duī dil se miTā de saaqī
mahviyat ho jise paikar vo pilā de saaqī
dil merā qulqul-e-mīnā kī sadā de saaqī
jām-e-'irfāñ se pilā de vo mai-e-ātish-rañg
dil-e-birishta ho kabāboñ kā maza de saaqī
bāda-e-nāb se de jaam bilorīñ bhar kar
maah meñ mehr kī sūrat ko dikhā de saaqī
bai'at-e-pīr-e-muġhāñ karne lage haiñ mai-kash
mujh ko apnā hī piyāla tu pilā de saaqī
toḌ duuñ mohr bahār aa ga.ī dīvāna huuñ
hai jo shīsha meñ parī mujh ko batā de saaqī
jis ko pī kar ho shagufta dil-e-be-tāb 'na.īm'
phuul sī ab vo gulābī sī pilā de saaqī
aaj kHum-kHana-e-wahdat se pila de saqi
sar-basar naqsh-e-dui dil se miTa de saqi
mahwiyat ho jise paikar wo pila de saqi
dil mera qulqul-e-mina ki sada de saqi
jam-e-'irfan se pila de wo mai-e-atish-rang
dil-e-birishta ho kababon ka maza de saqi
baada-e-nab se de jam bilorin bhar kar
mah mein mehr ki surat ko dikha de saqi
bai'at-e-pir-e-mughan karne lage hain mai-kash
mujh ko apna hi piyala tu pila de saqi
toD dun mohr bahaar aa gai diwana hun
hai jo shisha mein pari mujh ko bata de saqi
jis ko pi kar ho shagufta dil-e-be-tab 'naim'
phul si ab wo gulabi si pila de saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.