shab-e-vasl lauTeñge joban kisī kā
jo bhāgegā pakaḌeñge dāman kisī kā
rahegā na ye rañg-o-roġhan kisī kā
musāfir hai do din kā joban kisī kā
mirī saath jo kuchh kyā mere dil ne
kare yuuñ na dushman se dushman kisī kā
zarā shaam hue to ham rañg laa.eñ
añdhere meñ lauTeñge joban kisī kā
kaho tauba vāloñ se tauba toḌeñ
ubharne pe aayā hai joban kisī kā
nikālo na mū baaf ko keñchulī se
kahīñ dil na Das jaa.eñ nāgin kisī kā
'na’īm' aise jāñ-bāz lakhoñ hī hoñge
ubharne to de 'umr joban kisī kā
shab-e-wasl lauTenge joban kisi ka
jo bhagega pakaDenge daman kisi ka
rahega na ye rang-o-roghan kisi ka
musafir hai do din ka joban kisi ka
meri sath jo kuchh kya mere dil ne
kare yun na dushman se dushman kisi ka
zara sham hue to hum rang laen
andhere mein lauTenge joban kisi ka
kaho tauba walon se tauba toDen
ubharne pe aaya hai joban kisi ka
nikalo na mu baf ko kenchuli se
kahin dil na Das jaen nagin kisi ka
'na’im' aise jaan-baz lakhon hi honge
ubharne to de 'umr joban kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.