nahin zaKHm-e-dil ab dikhane ke qabil

nahin zaKHm-e-dil ab dikhane ke qabil
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
nahīñ zaḳhm-e-dil ab dikhāne ke qābil
ye nāsūr hai bas chhupāne ke qābil
tere rū-ba-rū aa.uuñ kis muñh se pyāre
nahīñ ab rahā muñh dikhāne ke qābil
vufūr-e-ġham-e-yās ne aisā gherā
na chhoḌā kahīñ aane jaane ke qābil
shab-e-hijr kī talḳhiyāñ kuchh na pūchho
nahīñ dāstāñ ye sunāne ke qābil
ye Thukrā ke dil phir kahā muskurā kar
na thā dil ye dil se lagāne ke qābil
jo dekhā mujhe pher liiñ apnī āñkheñ
na jaanā mujhe muñh lagāne ke qābil
terī bazm meñ saikḌoñ aa.e baiThe
hamī ek the kyā uThāne ke qābil
ye kāfir nigāheñ ye dilkash adā.eñ
nahīñ kuchh rahā ab bachāne ke qābil
dayār-e-mohabbat ke sultāñ se kah do
ye vīrāñ kada hai basāne ke qābil
kiyā zikr dil kā to hañs kar vo bole
nahīñ hai ye dil rahm khāne ke qābil
nigāh-e-karam yuuñ hī rakhnā ḳhudārā
na maiñ huuñ na dil āzmāne ke qābil
nishān-e-kaf-e-pā-e-jānāñ pe yārab
hamārā ye sar ho jhukāne ke qābil
kabhī qabr-e-'mushtāq' par se jo guzre
kahā ye nishāñ hai miTāne ke qābil
nahin zaKHm-e-dil ab dikhane ke qabil
ye nasur hai bas chhupane ke qabil
tere ru-ba-ru aaun kis munh se pyare
nahin ab raha munh dikhane ke qabil
wufur-e-gham-e-yas ne aisa ghera
na chhoDa kahin aane jaane ke qabil
shab-e-hijr ki talKHiyan kuchh na puchho
nahin dastan ye sunane ke qabil
ye Thukra ke dil phir kaha muskura kar
na tha dil ye dil se lagane ke qabil
jo dekha mujhe pher lin apni aankhen
na jaana mujhe munh lagane ke qabil
teri bazm mein saikDon aae baiThe
hami ek the kya uThane ke qabil
ye kafir nigahen ye dilkash adaen
nahin kuchh raha ab bachane ke qabil
dayar-e-mohabbat ke sultan se kah do
ye viran kada hai basane ke qabil
kiya zikr dil ka to hans kar wo bole
nahin hai ye dil rahm khane ke qabil
nigah-e-karam yun hi rakhna KHudara
na main hun na dil aazmane ke qabil
nishan-e-kaf-e-pa-e-jaanan pe yarab
hamara ye sar ho jhukane ke qabil
kabhi qabr-e-'mushtaq' par se jo guzre
kaha ye nishan hai miTane ke qabil
- Book : Asrar-ul-Mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.