nairangiyan tumhaari hum ko sata rahi hain
nairañgiyāñ tumhārī ham ko satā rahī haiñ
pyārī terī adā.eñ dil ko lubhā rahī haiñ
tīr-e-nigah kā maarā koī na bach sakegā
kār-e-kHadañg-o-nāvik āñkheñ dikhā rahī haiñ
ye shor-o-shar tumhārā dil ko bahut hai bhāyā
jī meñ ye mere aaheñ dhūmeñ machā rahī haiñ
ham be-ḳhudī meñ apnī jo kuchh kah rahe haiñ
ye ḳhud adā.eñ terī ham ko sikhā rahī haiñ
dekho safī ne mujh ko hai ‘kHādimī’ 'atā kī
dil meñ mire adā.eñ us kī samā rahī hiiñ
nairangiyan tumhaari hum ko sata rahi hain
pyari teri adaen dil ko lubha rahi hain
tir-e-nigah ka mara koi na bach sakega
kar-e-kHadang-o-nawik aankhen dikha rahi hain
ye shor-o-shar tumhaara dil ko bahut hai bhaya
ji mein ye mere aahen dhumen macha rahi hain
hum be-KHudi mein apni jo kuchh kah rahe hain
ye KHud adaen teri hum ko sikha rahi hain
dekho safi ne mujh ko hai ‘kHadimi’ 'ata ki
dil mein mere adaen us ki sama rahi hin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.