agar manzur hai pina mai-e-wahdat ke saghar ka
agar manzur hai pina mai-e-wahdat ke saghar ka
Khwaja Ilahi Bakhsh Maroof
MORE BYKhwaja Ilahi Bakhsh Maroof
agar manzūr hai piinā mai-e-vahdat ke sāġhar kā
liyā kar naam har dam hazrat sāqī-e-kausar kā
terī mai kī tamannā meñ banā dil varna ai saaqī
jise kahte haiñ shīsha vo bhī ek TukḌā hai patthar kā
kabhī gar ḳhaak tere naqsh-e-pā kī dil se vo miltā
to shakl-e-ā.īna dil saaf ho jaatā sikandar kā
terī duurī se ham jis ātish-e-sozāñ meñ jalte haiñ
jo dekhe duur se to aab ho zahrā samandar kā
'ilm kā us ke ai ‘mā'rūf’ sar par mere saaya hai
nahīñ hai ek zarra ġham mujhe ḳhurshīd-e-mahshar kā
agar manzur hai pina mai-e-wahdat ke saghar ka
liya kar nam har dam hazrat saqi-e-kausar ka
teri mai ki tamanna mein bana dil warna ai saqi
jise kahte hain shisha wo bhi ek TukDa hai patthar ka
kabhi gar KHak tere naqsh-e-pa ki dil se wo milta
to shakl-e-aina dil saf ho jata sikandar ka
teri duri se hum jis aatish-e-sozan mein jalte hain
jo dekhe dur se to aab ho zahra samandar ka
'ilm ka us ke ai ‘ma'ruf’ sar par mere saya hai
nahin hai ek zarra gham mujhe KHurshid-e-mahshar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.