un ko wo qisse sunae hain ki ji jaanta hai
un ko wo qisse sunae hain ki ji jaanta hai
Nawab Moinuddaula Bahadur
MORE BYNawab Moinuddaula Bahadur
Interesting Fact
تضمین بر غزل داغؔ دہلوی
un ko vo qisse sunā.e haiñ ki jī jāntā hai
lab pe naale bhī vo laa.e haiñ ki jī jāntā hai
vo na.e rañg jamā.e haiñ ki jī jāntā hai
lutf vo 'ishq meñ paa.e haiñ ki jī jāntā hai
rañj bhī aise uThā.e haiñ ki jī jāntā hai
tum ne sīkhā hī nahīñ shevā-e-arbāb-e-karam
yaad hai tum ko bas andāz-e-jafā tarz-e-sitam
fitne qurbān haiñ jin par ye qadam haiñ vo qadam
un hī qadmoñ ne tumhāre un hī qadmoñ kī qasam
ḳhaak meñ aise milā.e haiñ ki jī jāntā hai
jin ko paanā thā unheñ pā ga.iiñ donoñ āñkheñ
diid kā dhokā magar khā ga.iiñ donoñ āñkheñ
dekhte hī unheñ sharmā ga.iiñ donoñ āñkheñ
ka.aba-o-dair meñ pathrā ga.iiñ donoñ āñkheñ
aise jalve nazar aa.e haiñ ki jī jāntā hai
hosh uḌāte haiñ 'muīn' ke bhī har ik jalve se
dekh lenā hī qiyāmat hai tirā parde se
jo yahāñ aatā hai jaatā nahīñ vo apne se
'dāġh'-e-vārafta ko ham aaj tire kūche se
is tarh khīñch ke laa.e haiñ ki jī jāntā hai
un ko wo qisse sunae hain ki ji jaanta hai
lab pe nale bhi wo lae hain ki ji jaanta hai
wo nae rang jamae hain ki ji jaanta hai
lutf wo 'ishq mein pae hain ki ji jaanta hai
ranj bhi aise uThae hain ki ji jaanta hai
tum ne sikha hi nahin shewa-e-arbab-e-karam
yaad hai tum ko bas andaz-e-jafa tarz-e-sitam
fitne qurban hain jin par ye qadam hain wo qadam
un hi qadmon ne tumhaare un hi qadmon ki qasam
KHak mein aise milae hain ki ji jaanta hai
jin ko pana tha unhen pa gain donon aankhen
did ka dhoka magar kha gain donon aankhen
dekhte hi unhen sharma gain donon aankhen
kaba-o-dair mein pathra gain donon aankhen
aise jalwe nazar aae hain ki ji jaanta hai
hosh uDate hain 'muin' ke bhi har ek jalwe se
dekh lena hi qiyamat hai tera parde se
jo yahan aata hai jata nahin wo apne se
'dagh'-e-warafta ko hum aaj tere kuche se
is tarh khinch ke lae hain ki ji jaanta hai
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 295)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.