josh dariya mein tha kis qadar al-aman uncha sahil se tufan ka dhaara gaya
josh dariya mein tha kis qadar al-aman uncha sahil se tufan ka dhaara gaya
Naza'n Sholapuri
MORE BYNaza'n Sholapuri
Interesting Fact
ماسٹر حبیب قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
josh dariyā meñ thā kis qadar al-amāñ ūñchā sāhil se tūfāñ kā dhārā gayā
is ko kahte haiñ qismat kī nā-kāmiyāñ pahle kashtī ga.ī phir kinārā gayā
'arsh hilne lagā āsmāñ phaT gayā kaun maidān meñ aaj utārā gayā
baat kyā hai jo mahshar meñ halchal machī naam qātil kā shāyad pukārā gayā
maut ko pahle apnī tasavvur kare māl-o-zar par na koī takabbur kare
saarī daulat dharī kī dharī rah ga.ī jo yahāñ se gayā be-sahārā gayā
vo jo aa.e to husn-e-basīrat na thā un ke jaate hī tāb-e-nazar aaga.ī
kal nazāra thā lekin ye āñkheñ na thiiñ aaj āñkheñ milīñ to nazārā gayā
jis ko paalā thā ham ne baḌe naaz se ik nazar Daal kar aap ne le liyā
ham se pūchho ki ham pe guzartī hai kyā aap kā kyā gayā dil hamārā gayā
muskurā.e to bijlī chamakne lagī baal kholā to kaalī ghaTā chhā ga.ī
un kī āñkhoñ se mastī Tapakne lagī yā javānī kā sadqa utārā gayā
ye ḳhudā jaane 'nāzāñ' kahāñ chal diyā kūcha-kūcha use maiñ ne DhūñDā magar
dostoñ se jo pūchhā to kahne lage vo hasīnoñ kī galiyoñ meñ maarā gayā
josh dariya mein tha kis qadar al-aman uncha sahil se tufan ka dhaara gaya
is ko kahte hain qismat ki na-kaamiyan pahle kashti gai phir kinara gaya
'arsh hilne laga aasman phaT gaya kaun maidan mein aaj utara gaya
baat kya hai jo mahshar mein halchal machi nam qatil ka shayad pukara gaya
maut ko pahle apni tasawwur kare mal-o-zar par na koi takabbur kare
sari daulat dhari ki dhari rah gai jo yahan se gaya be-sahaara gaya
wo jo aae to husn-e-basirat na tha un ke jate hi tab-e-nazar aagai
kal nazara tha lekin ye aankhen na thin aaj aankhen milin to nazara gaya
jis ko pala tha hum ne baDe naz se ek nazar Dal kar aap ne le liya
hum se puchho ki hum pe guzarti hai kya aap ka kya gaya dil hamara gaya
muskurae to bijli chamakne lagi baal khola to kali ghaTa chha gai
un ki aankhon se masti Tapakne lagi ya jawani ka sadqa utara gaya
ye KHuda jaane 'nazan' kahan chal diya kucha-kucha use main ne DhunDa magar
doston se jo puchha to kahne lage wo hasinon ki galiyon mein mara gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.