mazaq-e-jurat-o-himmat ko aazma na sake
Interesting Fact
اسمعٰیل تاج قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
mazāq-e-jur.at-o-himmat ko aazmā na sake
malā.ika bhī mohabbat kā baar uThā na sake
niyāz-o-nāz kī hāmil thī zindagī apnī
jabīn-e-dil ko tire dar se ham uThā na sake
guloñ ne shabnamī aañsū to pī liye lekin
jo aag dil meñ lagī thī use bujhā na sake
majāl-e-zauq-e-suḳhan phir kalīm kyā karte
ki jab vo sāmne aa.e nazar milā na sake
naqāb rū-e-munavvar se aap uThā.eñ to
vo the kalīm jo jalvoñ kī taab lā na sake
zamāna shā’ir-e-rañgīñ bayāñ samajhtā hai
nigāh-e-dost meñ 'nāzāñ' magar samā na sake
mazaq-e-jurat-o-himmat ko aazma na sake
malaika bhi mohabbat ka bar uTha na sake
niyaz-o-naz ki hamil thi zindagi apni
jabin-e-dil ko tere dar se hum uTha na sake
gulon ne shabnami aansu to pi liye lekin
jo aag dil mein lagi thi use bujha na sake
majal-e-zauq-e-suKHan phir kalim kya karte
ki jab wo samne aae nazar mila na sake
naqab ru-e-munawwar se aap uThaen to
wo the kalim jo jalwon ki tab la na sake
zamana sha’ir-e-rangin bayan samajhta hai
nigah-e-dost mein 'nazan' magar sama na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.