bahaar aai ghaTaen bula rahi hain tumhein
Interesting Fact
فلم ’’آج اور کل‘‘ کے نغمہ ’’یہ وادیاں یہ فضائیں‘‘ کی طرز پر۔
bahār aa.ī ghaTā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
ye bhīnī bhīnī havā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
chale bhī aao ki rāhat mile taḌapne se
ki dil-jaloñ kī sadā.eñ balā rahī meñ tumheñ
merā kahā na suno dil kī baat to sun lo
ki mere dil kī du'ā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
jhuke jhuke se zarā bādaloñ ko dekho to
salām kar ke ghaTā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
tumhāre zulam kā shikvā nahīñ mujhe lekin
merī taḌaptī vafā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
ḳhudā ke vāste 'nāzāñ' kī aabrū rakh lo
machal machal ke du'ā.eñ bulā rahī haiñ tumheñ
bahaar aai ghaTaen bula rahi hain tumhein
ye bhini bhini hawaen bula rahi hain tumhein
chale bhi aao ki rahat mile taDapne se
ki dil-jalon ki sadaen bala rahi mein tumhein
mera kaha na suno dil ki baat to sun lo
ki mere dil ki du'aen bula rahi hain tumhein
jhuke jhuke se zara baadalon ko dekho to
salam kar ke ghaTaen bula rahi hain tumhein
tumhaare zulam ka shikwa nahin mujhe lekin
meri taDapti wafaen bula rahi hain tumhein
KHuda ke waste 'nazan' ki aabru rakh lo
machal machal ke du'aen bula rahi hain tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.