ji chahta hai aag laga den nazar se hum
tañg aa.e zindagī ke bhayānak safar se ham
jibrīl kā guzar nahīñ guzre udhar se ham
vā'de haiñ saikaḌoñ to bahāne bhī saikaḌoñ
bezār kar chuke haiñ agar aur magar se ham
sar ko uThā ke sar ko jhukā.eñ vo ham nahīñ
sar le ke jaa.eñ aur terī sañg-e-dar se ham
apnī ḳhabar na aap ko na aap kī hameñ
kuchh be-ḳhabar se aap haiñ kuchh be-ḳhabar se ham
parda aur un se parda jo āshiq-mizāj haiñ
jī chāhtā hai aag lagā deñ nazar se ham
nazar bhī ḳhanjar se abrū se kam nahīñ
donoñ taraf ke vaar sambhāleñ kī bahar se ham
ye apne bas kī baat nahīñ she'r-o-shā'irī
urdu zabān lā.eñge 'nāzāñ' kidhar se ham
tang aae zindagi ke bhayanak safar se hum
jibril ka guzar nahin guzre udhar se hum
wa'de hain saikaDon to bahane bhi saikaDon
bezar kar chuke hain agar aur magar se hum
sar ko uTha ke sar ko jhukaen wo hum nahin
sar le ke jaen aur teri sang-e-dar se hum
apni KHabar na aap ko na aap ki hamein
kuchh be-KHabar se aap hain kuchh be-KHabar se hum
parda aur un se parda jo aashiq-mizaj hain
ji chahta hai aag laga den nazar se hum
nazar bhi KHanjar se abru se kam nahin
donon taraf ke war sambhaalen ki bahar se hum
ye apne bas ki baat nahin she'r-o-sha'iri
urdu zaban laenge 'nazan' kidhar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.