lahraati hai jab zulf-e-jaanan baadal ko pasina aata hai
lahraati hai jab zulf-e-jaanan baadal ko pasina aata hai
Naza'n Sholapuri
MORE BYNaza'n Sholapuri
Interesting Fact
اسمعٰیل آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
lahrātī hai jab zulf-e-jānāñ bādal ko pasīna aatā hai
mā'lūm ye hotā hai jaise sāvan kā mahīna aatā hai
āġhosh-e-hayāt-o-maut meñ vo sotā hai kabhī uThtā hai kabhī
bīmār-e-mohabbat ko tere mar-mar ke jiinā aatā hai
kyā kaam surāhī sāġhar se mastī se ġharaz rahtī hai use
jo dekhte terī āñkhoñ ko piine kā qarīna aatā hai
vo dekho lab-e-sāhil aa.e altāf-o-karam kī hogī nazar
ai Dūbne vaalo ġham na karo sāhil pe safīna aatā hai
is ruḳh se zulf meñ haTte hī dam toḌtī haiñ kaalī rāteñ
jab chāñd nikaltā hai 'nāzāñ' tāroñ ko pasīna aatā hai
lahraati hai jab zulf-e-jaanan baadal ko pasina aata hai
ma'lum ye hota hai jaise sawan ka mahina aata hai
aaghosh-e-hayat-o-maut mein wo sota hai kabhi uThta hai kabhi
bimar-e-mohabbat ko tere mar-mar ke jina aata hai
kya kaam surahi saghar se masti se gharaz rahti hai use
jo dekhte teri aankhon ko pine ka qarina aata hai
wo dekho lab-e-sahil aae altaf-o-karam ki hogi nazar
ai Dubne walo gham na karo sahil pe safina aata hai
is ruKH se zulf mein haTte hi dam toDti hain kali raaten
jab chand nikalta hai 'nazan' taron ko pasina aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.