kyun mujhse nazar pheri ai murshid-e-mai-KHana
Interesting Fact
فلم ’’شمع‘‘ بطرز ’’انصاف تیرا دیکھا اے ساقیٔ میخانہ‘‘
kyuuñ mujh se nazar pherī ai murshid-e-mai-ḳhāna
dariyā ke paas aakar pyāsā rahā mastāna
pūchhā na kabhī tū ne hāl-e-dil-e-dīvāna
sham.a terī mahfil meñ jaltā rahā parvāna
barq falak chaman meñ kyuuñ jhāñktī phirtī hai
gulshan meñ yā ilāhī kis kā hai āshiyāna
kuchh aas le ke dil meñ laayā huuñ dil ko apne
ai tirchhī nazar vaale ik is taraf nishāna
sargarm guftugū the ġhairoñ se sar-e-mahfil
apne hī fidā.ī ko tū ne nahīñ pahchānā
phir tū ne bulāyā hai mahfil meñ 'āshiqoñ ko
kyā terā irāda hai ai jalva-e-jānāna
le kar bahār-e-bustāñ aayā hai dil qafas meñ
vīrāne meñ ābādī ābādī meñ vīrāna
ik kaif hai āñkhoñ meñ kaif meñ āñkheñ haiñ
dīvāne meñ mastī hai mastī meñ hai dīvāna
be-par ke uḌ rahe haiñ pī-pī ke jām-e-'irfāñ
saaqī kā mai-kada bhī 'nāzāñ' hai parī-ḳhāna
kyun mujh se nazar pheri ai murshid-e-mai-KHana
dariya ke pas aakar pyasa raha mastana
puchha na kabhi tu ne haal-e-dil-e-diwana
shama teri mahfil mein jalta raha parwana
barq falak chaman mein kyun jhankti phirti hai
gulshan mein ya ilahi kis ka hai aashiyana
kuchh aas le ke dil mein laya hun dil ko apne
ai tirchhi nazar wale ek is taraf nishana
sargarm guftugu the ghairon se sar-e-mahfil
apne hi fidai ko tu ne nahin pahchana
phir tu ne bulaya hai mahfil mein 'ashiqon ko
kya tera irada hai ai jalwa-e-jaanana
le kar bahaar-e-bustan aaya hai dil qafas mein
virane mein aabaadi aabaadi mein virana
ek kaif hai aankhon mein kaif mein aankhen hain
diwane mein masti hai masti mein hai diwana
be-par ke uD rahe hain pi-pi ke jam-e-'irfan
saqi ka mai-kada bhi 'nazan' hai pari-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.