na haram mein na sakun milta hai but-KHane mein
na haram meñ na sakūñ miltā hai but-ḳhāne meñ
chain miltā hai to saaqī tere mai-ḳhāne meñ
jhuum barābar jhuum sharābī jhuum barābar jhuum
kaalī ghaTā hai mast fazā hai
jaam uThā kar ghuum ghuum ghuum
aaj añgūr kī beTī se mohabbat kar le
shaiḳh sāheb kī nasīhat se baġhāvat kar le
us kī beTī ne uThā rakkhī hai sar par duniyā
ye to achchhā huā añgūr ko beTā na huā
kam se kam sūrat saaqī kā nazārā kar le
aa ke maiḳhāne meñ jiine kā sahārā kar le
aañkh milte hī javānī kā maza aa.egā
tujh ko añgūr ke paanī kā maza aa.egā
har nazar apnī ba-sad shauq gulābī kar de
itnī pī le ke zamāne ko sharābī kar de
jaam jab sāmne aa.e to mukarnā kaisā
baat piine pe jab aa jaa.e to Darnā kaisā
dhuum machī hai mai-ḳhāne meñ tū bhī machā le dhuum dhuum dhuum
jhuum barābar jhuum sharābī jhuum barābar jhuum
is ke piine se tabī'at meñ ravānī aa.e
is ko būḌhā bhī pī le to javānī aa.e
piine vaale tujhe aa jāygā piine kā maza
is ke har ghūñT meñ poshīda hai jiine kā maza
baat to jab hai ki tū mai kā parastār bane
to nazar Daal de jis par vahī mai-ḳhvār bane
mausam-e-gul meñ to piine kā maza aatā hai
piine vāloñ ko hī jiine kā maza aatā hai
jaam uThā le muñh se lagā le muñh se lagā kar chuum chuum chuum
jhuum barābar jhuum sharābī jhuum barābar jhuum
jo bhī aatā hai yahāñ pī ke machal jaatā hai
jab nazar saaqī kī paḌtī hai sambhal jaatā hai
aa idhar jhuum ke saaqī kaale ke naam uThā
is qadar pī le ke rag rag meñ sar-e-dar aa jaa.e
kasrat mai se tere chehre par nuur aa jaa.e
us ke har qatre meñ nāzāñ hai nihāñ dariyā-dilī
us ke piine se 'atā hotī hai ik zinda-dilī
shaan se pī le shaan se jī le tū bhī nashe meñ jhuum jhuum jhuum
jhuum barābar jhuum sharābī jhuum barābar jhuum
na haram mein na sakun milta hai but-KHane mein
chain milta hai to saqi tere mai-KHane mein
jhum barabar jhum sharabi jhum barabar jhum
kali ghaTa hai mast faza hai
jam uTha kar ghum ghum ghum
aaj angur ki beTi se mohabbat kar le
shaiKH saheb ki nasihat se baghawat kar le
us ki beTi ne uTha rakkhi hai sar par duniya
ye to achchha hua angur ko beTa na hua
kam se kam surat saqi kā nazara kar le
aa ke maiKHane mein jine kā sahaara kar le
aankh milte hi jawani ka maza aaega
tujh ko angur ke pani ka maza aaega
har nazar apni ba-sad shauq gulabi kar de
itni pi le ke zamane ko sharabi kar de
jam jab samne aae to mukarna kaisa
baat pine pe jab aa jae to Darna kaisa
dhum machi hai mai-KHane mein tu bhi macha le dhum dhum dhum
jhum barabar jhum sharabi jhum barabar jhum
is ke pine se tabi'at mein rawani aae
is ko buDha bhi pi le to jawani aae
pine wale tujhe aa jayga pine ka maza
is ke har ghunT mein poshida hai jine ka maza
baat to jab hai ki tu mai ka parastar bane
to nazar Dal de jis par wahi mai-KHwar bane
mausam-e-gul mein to pine ka maza aata hai
pine walon ko hi jine ka maza aata hai
jam uTha le munh se laga le munh se laga kar chum chum chum
jhum barabar jhum sharabi jhum barabar jhum
jo bhi aata hai yahan pi ke machal jata hai
jab nazar saqi ki paDti hai sambhal jata hai
aa idhar jhum ke saqi kale ke nam uTha
is qadar pi le ke rag rag mein sar-e-dar aa jae
kasrat mai se tere chehre par nur aa jae
us ke har qatre mein nazan hai nihan dariya-dili
us ke pine se 'ata hoti hai ek zinda-dili
shan se pi le shan se ji le tu bhi nashe mein jhum jhum jhum
jhum barabar jhum sharabi jhum barabar jhum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.