sun lo ki rañg-e-mahfil kuchh mo'atabar nahīñ hai
hai ek zabān goyā sham’-e-sahr nahīñ hai
muddat se DhūñDhtā huuñ miltā magar nahīñ hai
vo ik sukūn-e-ḳhātir jo besh-tar nahīñ hai
ho laakh chāra-sāzī lekin asar nahīñ hai
haañ dar-kHur-e-mudāvā zaḳhm-e-jigar nahīñ hai
dil thā to ho rahā thā ehsās-e-zindagī bhī
zinda huuñ ab ki murda mujh ko ḳhabar nahīñ hai
parda uThā de ik din tū ai hijāb-e-hastī
paatā huuñ us ko dil meñ dekhā magar nahīñ hai
marne pe jism-e-ḳhākī kyā saath ruuh kā de
rāh-e-'adam meñ ġhāfil gard-e-safar nahīñ hai
kyā gomago haiñ ai dil isrār-e-be-ḳhudī bhī
sab ko ḳhabar hai mujh ko apnī ḳhabar nahīñ hai
duniyā se jā rahe ho kyā le ke ai 'nazar' tum
zād-e-safar nahīñ hai raḳht-e-safar nahīñ hai
sun lo ki rang-e-mahfil kuchh mo'atabar nahin hai
hai ek zaban goya sham’-e-sahr nahin hai
muddat se DhunDhta hun milta magar nahin hai
wo ek sukun-e-KHatir jo besh-tar nahin hai
ho lakh chaara-sazi lekin asar nahin hai
han dar-kHur-e-mudawa zaKHm-e-jigar nahin hai
dil tha to ho raha tha ehsas-e-zindagi bhi
zinda hun ab ki murda mujh ko KHabar nahin hai
parda uTha de ek din tu ai hijab-e-hasti
pata hun us ko dil mein dekha magar nahin hai
marne pe jism-e-KHaki kya sath ruh ka de
rah-e-'adam mein ghafil gard-e-safar nahin hai
kya gomago hain ai dil israr-e-be-KHudi bhi
sab ko KHabar hai mujh ko apni KHabar nahin hai
duniya se ja rahe ho kya le ke ai 'nazar' tum
zad-e-safar nahin hai raKHt-e-safar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.