bahr-e-hasti mein hamiyat sohbat-e-ahbab
bahr-e-hastī meñ hamīyat sohbat-e-ahbāb
yuuñ hai jaise barū-e-āb-e-habāb
bāda-e-nāb kiyā hai kHūn-e-jigar
zardī-e-rañg hai shab-e-mahtāb
jis ko raqs-o-surūd kahte haiñ
vo bhī hai ik havā-e-ḳhana-ḳharāb
'umr kahte haiñ jis ko vo kyā hai
misl-e-tahrīr mauj-e-naqsh bar-āb
jism kyā ruuh kī hai jolā nigāh
ruuh kyā ik savār-e-pā ba-rikāb
husn aur 'ishq kyā haiñ ye bhī haiñ
kHatfa-e-barq-o-qatra-e-sīmāb
zindagānī-o-marg bhī kyā haiñ
ek misl-e-kHayāl-o-dīgar ḳhvāb
fursat-e-’umr qatra-e-shabnam
vasl-e-mahbūb gauhar-e-nāyāb
kyuuñ na 'ishrat do chand ho jo hai
yār-e-mah-chehra aur shab-e-mahtāb
sab kitāboñ ke khul ga.e mā'nī
jab se dekhī 'nazīr' dil kī kitāb
bahr-e-hasti mein hamiyat sohbat-e-ahbab
yun hai jaise baru-e-ab-e-habab
baada-e-nab kiya hai kHun-e-jigar
zardi-e-rang hai shab-e-mahtab
jis ko raqs-o-surud kahte hain
wo bhi hai ek hawa-e-KHana-KHarab
'umr kahte hain jis ko wo kya hai
misl-e-tahrir mauj-e-naqsh bar-ab
jism kya ruh ki hai jola nigah
ruh kya ek sawar-e-pa ba-rikab
husn aur 'ishq kya hain ye bhi hain
kHatfa-e-barq-o-qatra-e-simab
zindagani-o-marg bhi kya hain
ek misl-e-kHayal-o-digar KHwab
fursat-e-’umr qatra-e-shabnam
wasl-e-mahbub gauhar-e-nayab
kyun na 'ishrat do chand ho jo hai
yar-e-mah-chehra aur shab-e-mahtab
sab kitabon ke khul gae ma'ni
jab se dekhi 'nazir' dil ki kitab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.