sare mohammadi ke hajat sab KHuda de
Interesting Fact
مناجات
saare mohammadī ke hājāt sab ḳhudā de
donoñ jahāñ meñ rāhat be-ranj-o-be-'anā de
jo māñge us ko vo de afzūñ ze-mudda'ā de
be-ārzū ke be-had in'ām aur silā de
mushtāq 'ne'matī' ko dīdār-e-mustafā de
dīdār-e-mustafā meñ apne use baqā de
islām tā-qiyāmat 'aalī rahe hamesha
īmān ham sabhoñ kā baaqī rahe hamesha
ham sab pe terā saaya kaafī rahe hamesha
tū sab mohammadī kā haamī rahe hamesha
mushtāq 'ne'matī' ko dīdār-e-mustafā de
dīdār-e-mustafā meñ apne use baqā de
nañgoñ ko kisvateñ de bhūkoñ ko ne.amateñ de
tishnoñ ko sharbateñ de muflis ko daulateñ de
mohtāj par karam kar be-ranj hājateñ de
mehnat-kashīdgoñ ko allāh rāhateñ de
mushtāq 'ne'matī' ko dīdār-e-mustafā de
dīdār-e-mustafā meñ apne use baqā de
īmāñ ke saath ham ko duniyā se tū uThā le
duniyā-o-dīñ meñ merā sab 'aib tū chhupā le
naama siyāh merā mahshar meñ mat nikāle
ham ko mire nabī ke dāman tale lukā le
mushtāq 'ne'matī' ko dīdār-e-mustafā de
dīdār-e-mustafā meñ apne use baqā de
de soz jo jalā de pindār aur riyā ko
de aag jo jalā de sab tere mā-sivā ko
de dard jis se pahuñcheñ ham apne mustafā ko
de 'ishq jis se pāveñ us daulat-e-baqā ko
mushtāq 'ne'matī' ko dīdār-e-mustafā de
dīdār-e-mustafā meñ apne use baqā de
sare mohammadi ke hajat sab KHuda de
donon jahan mein rahat be-ranj-o-be-'ana de
jo mange us ko wo de afzun ze-mudda'a de
be-arzu ke be-had in'am aur sila de
mushtaq 'ne'mati' ko didar-e-mustafa de
didar-e-mustafa mein apne use baqa de
islam ta-qiyamat 'ali rahe hamesha
iman hum sabhon ka baqi rahe hamesha
hum sab pe tera saya kafi rahe hamesha
tu sab mohammadi ka hami rahe hamesha
mushtaq 'ne'mati' ko didar-e-mustafa de
didar-e-mustafa mein apne use baqa de
nangon ko kiswaten de bhukon ko neamaten de
tishnon ko sharbaten de muflis ko daulaten de
mohtaj par karam kar be-ranj hajaten de
mehnat-kashidgon ko allah rahaten de
mushtaq 'ne'mati' ko didar-e-mustafa de
didar-e-mustafa mein apne use baqa de
iman ke sath hum ko duniya se tu uTha le
duniya-o-din mein mera sab 'aib tu chhupa le
nama siyah mera mahshar mein mat nikale
hum ko mere nabi ke daman tale luka le
mushtaq 'ne'mati' ko didar-e-mustafa de
didar-e-mustafa mein apne use baqa de
de soz jo jala de pindar aur riya ko
de aag jo jala de sab tere ma-siwa ko
de dard jis se pahunchen hum apne mustafa ko
de 'ishq jis se pawen us daulat-e-baqa ko
mushtaq 'ne'mati' ko didar-e-mustafa de
didar-e-mustafa mein apne use baqa de
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.