nigah-e-yar jise aashna-e-raaz kare
nigāh-e-yār jise āshnā-e-rāz kare
vo apnī ḳhūbī-e-qismat pe kyuuñ na naaz kare
diloñ ko fikr-e-do-ālam se kar diyā āzād
tire junūñ kā ḳhudā silsila darāz kare
ḳhirad kā naam junūñ paḌ gayā junūñ kā ḳhirad
jo chāhe aap kā husn-e-karishma-sāz kare
tire sitam se maiñ ḳhush huuñ ki ġhāliban yuuñ bhī
mujhe vo shāmil arbāb-e-imtiyāz kare
ġham-e-jahāñ se jise ho farāġh kī ḳhvāhish
vo un ke dard-e-mohabbat se sāz-bāz kare
umīd-vār haiñ har samt āshiqoñ ke giroh
tirī nigāh ko allāh dil-navāz kare
tire karam kā sazā-vār to nahīñ 'hasrat'
ab aage terī ḳhushī hai sarfarāz kare
nigah-e-yar jise aashna-e-raaz kare
wo apni KHubi-e-qismat pe kyun na naz kare
dilon ko fikr-e-do-alam se kar diya aazad
tere junun ka KHuda silsila daraaz kare
KHirad ka nam junun paD gaya junun ka KHirad
jo chahe aap ka husn-e-karishma-saz kare
tere sitam se main KHush hun ki ghaaliban yun bhi
mujhe wo shamil arbab-e-imtiyaz kare
gham-e-jahan se jise ho faragh ki KHwahish
wo un ke dard-e-mohabbat se saz-baz kare
umid-war hain har samt aashiqon ke giroh
teri nigah ko allah dil-nawaz kare
tere karam ka saza-war to nahin 'hasrat'
ab aage teri KHushi hai sarfaraaz kare
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 128)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.